•••
Hafte ka din tha. Apni nigrani mein woh ground floor ke zyada tar kamron ki safai karwa rahi thi. Ek nai tarteeb se cheezo ko organize karti, ghair zaroori samaan ko store room mein rakhwati, woh khud bhi mulazimeen ke saath lagi hui thi. Lakdi ke box mein dhari kuch araishi ashya ka jaiza leti hui woh sajawat ke liye kuch nai ashya ka intekhab kar chuki thi. Mrs. Shirazi ke kehne par usne lounge ki diwar-geer khidkiyon ke parde bhi badalwa diye thay.
Rahdari ki diwaro par kuch nai paintings se sajadi gayi thi. Indoor plants ki bhi jagah badli thi. Aur ab woh store room mein mazeed kuch aise besh qeemat decoration pieces ka jaiza le rahi thi jo Italy, France aur na jaane kahaan kahaan se khareede gaye the.
Uske hukum par Aqsa stool par chadhi, upari khanon ka jaiza le rahi thi. Files ka ek dheir tha jo gard se dhaka hua tha. Kaghzaat, lifafe, magazines, akhbaar aur ab uski tamaam tar tawajjo us araishi box ki taraf thi jo dabbe mein pack kona mein pada tha aur jise Jannat ne nikaalne ko kaha tha. Usay wahan se uthane ki koshish mein haath lambay karte hue woh aediyon ke bal kuch upar hui thi. Agle hi lamhe uska tawazun bigda tha.
"Aqsa!" Stool par girift jamaaye Jannat cheekhi. Aqsa ne be ikhtiyari ke aalam mein aediyon par zor dete hue almari ko pakda magar koshish ke bawajood wo files ko nahi sambhal saki jo dhad dhad ladakti seedha farsh par aa padi thi.
"Tum theek ho?" Jannat ne sar utha kar poocha tha.
"J-Ji, ji main fine, bilkul fine." Woh almari se chipki khadi rahi thi. Jannat ne be ikhtiyar sukoon bhara saans liya. Phir usne araishi box Aqsa ke hawale kiya aur khud bohot ehtiyaat se neeche utar aayi. "Uff! Ek kaam simat-ta nahi, doosra bikhar jaata hai." Farsh par bikhray kaaghzaat ka dheir dekh kar Jannat jhunjhlayi thi.
"Main inhein samet leti hoon, Aapi!" Aqsa keh kar panjon ke bal baith gayi thi. Ab ek ek karke sabhi kaghzaat files mein rakhne lagi thi.
ahtiyaat se kadam uthate, woh jaane ke liye mur rahi thi jab uski nazar farsh par gire akhbaar ke front page par padi aur woh thetak kar rukh gayi. Jhuk kar akhbaar uthaya. Agle hi lamhe, khabar padhte hi, woh sadme se gung apni jagah sakit khadi reh gayi.
Uske samne haadsati maut ki ek khabar thi. Mulk ke ek naamwar business tycoon Aazam Shirazi ke eklote bete, Baroon Shirazi, aur potey, Hammad Shirazi, ki maut ki khabar. Jo car accident mein jaan bahaq hue the.
Kapkapate haathon mein akhbaar liye woh dam-bakhud khadi thi.
"Mrs. Shirazi ne apne jawan bete aur shauhar ko ek hi din mein khoya tha?"
Uski palkon mein larzish thi, aur badan par kapkapi si tari thi. Akhbaar haath mein liye woh raahdari mein aa gayi thi, aur wahi se back door khol kar usne aqbi lawn ka rukh kiya tha.
"Jawan bete aur shauhar ki judaai ka sadma ek saath jhela tha?"
Uske qadam ruke, swimming pool ke samne lawn chairs par baithi Mrs. Shirazi aur Faris ke humraah bethe hue nazar aa rahi thi.
Woh Faris se kuch keh rahi thi. Phir uska jawab sun kar ek dum se muskurane lagi thi. Phir kisi baat par has padi.
Mohabbat ka, reham ka, humdardi ka... jaane woh kaun sa ehsaas tha ke unhein yun haste muskurate dekh kar uska dil fatne laga. Aankhein nam hone lagi thi.
Usne hamesha unhein bohot mazboot dekha tha. Apni zindagi, waqt, aur haalaat par sabr aur shukr karte hue hi dekha tha. Unki aankhon mein yaqeen ki ek gehri chamak hoti thi.
Aati thin. Mutma'in, pur sukoon, pur umeed. Unki aankhon mein yaqeen ki ek gehri chamak nazar aati thi. Unka chehra husn-e-zan se manawwar rehta tha. Uski nazar Faris tak gayi. Woh lawn chairs par gardan peeche ki taraf giraye aaraam-deh haalat mein baitha tha. Dhoop mein aankhein band thi. Ta'asuraat naram the. Mrs. Shirazi ki nazar Jannat par nahi pari thi, magar Jannat unhein hi dekh rahi thi. Akhbaar par grip barhaye woh wapas palat aayi thi. Store room ka darwaza band karke, woh kitni hi der tak ghair zaroori samaan mein ghiri, gehri saansein leti rahi thi.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...