•••
Siyah rang ki long skirt par siyah chamkti hui shirt zeb tan ki, surkh rang ki lipstick, usi rang ka bag, pencil heels aur nafees jewellery, layers mein kate, range hue baal jinme lapeti ungliyo ko harkat deti, woh gaadi se nikal kar seedha imarat mein daakhil ho gayi thi.
5th flour par uska luxury apartment tha. Lift kaam nahi kar rahi thi to usne seediyo ka rukh kar liya tha. Woh poore ek maah baad Pakistan wapas aayi thi. Apni is wapsi par aur milne wali kamiyabi par uska chehra roshan aur pur sukoon nazar aa raha tha. Aahista se qadam uthate hue woh mobile screen par scrolling karti ja rahi thi. Bahut se messages the, tasveerain thi, kuch chatpati si khabrein. Kuch inkishaf aur karna tha. Lekin use sabse zyada khushi moosul hote sirf ek paigam par mili thi. Woh ek paigam jaise uski riyasat ka sarsabz tha. Ek madham si pur-israar muskurahat uske labon ka ihata kar gayi. Dil ki atah gahraiyo mein sukoon utar gaya.
"Yeh sab karke tumhe kya mil jayega?" Message moosul hua to woh railing par haath jamaye ruk gayi. Kaafi der tak ruki rahi. Usne typing shuru ki.
"Kuch aisa jis ka tum tasavvur bhi nahi kar sakti." Likh kar phir se qadam uthana shuru kiya. Matlooba floor par matlooba darwaza kholte hue woh andar daakhil hui.
Apne nazuk qadam ko bell ki girift se azaad karne ke baad slippers pehne. Phir haath badha kar lights on karna chaahi to idraak hua switchboard kaam nahi kar raha tha. Nigahein bhatkati hui lounge aur phir open kitchen ki taraf chali gayi. Agle hi pal woh apni jagah tham gayi. Hairaan o shashdar, saakit, bad-hawaas…
Madham si zarkaar roshni mein uske apartment ka manzar kisi had tak numaayan ho raha tha.
Guldaan, paintings, glass, table, crockery, ghair ke har ek shay toor phoor ka shikaar thi. Sofa ke cushions bikhre hue, TV screen farsh par gir gayi thi. Kitchen ka to isse bhi bura haal tha. Munh par haath rakh kar woh kuch mathos si qadam uthai bedroom ki taraf bhagi. Haath badha kar lights on kar di.
Bedroom ki haalat bhi abtar thi. Uski qeemti nafees jewelry ke zevar har jagah bikhre hue the.
Woh jhatke se ruki aur apni jagah saakit hui. Bairuni darwaza aahista se band hua tha. Uske apartment ki tamam batiyan roshan ho gayi thi. Do suited booted mardo ke darmiyan khade shakhsh par nazar padti hai toh woh munjamid ho gayi. Waqt itna nahi guzra tha ke woh use pehchaan na paati. Woh gandumi chehra [wheatish complexion], taariq aankhein aur israr liye taasur uske liye hagiz nahi the.
"Tum!" sadme se lab hai.
Siyah paint coat mein malboos woh isi tamkinat se sar uthaaye khada tha. Bhoore baal gel ki madad se peechay ko jhye hue the. Daahine haath mein wahi makhsoos zanjeer jise woh aksar ungliyon mein lete rakhta tha. Aankhein kisi bhi tassur se aari, aur chehra mukammal sapaat tha.
"Mujhe khushi hai ke main aapko yaad hoon." Uska andaaz waisa hi robotic tha, lekin aaj bhi saada tha. Na gussa na bukht, na narmi, na hi koi aur tassur jhalak raha tha.
Woh dam saade phati phati aankhon se use dekh rahi thi.
"Ghabraaye nahi. Main sirf aap se baat karne aaya hoon."
Woh haath bandhe khada tha. Aahista aahista qadam uthata aage badha. Kaanch ke tukde aur bahut si toor phoor ka shikaar cheeze uske bhaari qadam ke neeche chirmura gayi thi.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...