•CHP-34•

501 28 7
                                    

•••

chhuttiya khatam hone mein do din baqi the. woh apni packing kar raha tha jab jannat, mouni ke sath milne chali aayi thi. kuch der tak bahar khailte rehne ke baad mouni chali gayi to jannat uske paas aagai.

"Tum itwaar ko chale jao ge?"

"Haa"

"Kaha jao ge ?"

"Apne Hostel"

kuch der tak woh tasawwur hi tasawwur mein hostel ke maiene dhoondti rahi phir boli.

"phir tum dobara kab aao ge?"

apni tooty bag mein rakhte woh lamhe bhar ke liye ruka, phir usne murr kar jannat ko dekha. Shirazi mention, Azam Shirazi. servant quarters mein uska kamra adhoora naam liye kisi mulazim ke yateem bete ki pehchan yeh tamam andhere aik taraf aur jannat ka muntazir roshan chehra doosri taraf.

"Garmiyon ki chhutiyo mein aauga."

usne kaha, aur bohat dil se kaha. faisla kar ke, irada bandh kar kaha.

"Wada?"

jannat ki tasalii nahi hui.

"Wada..!"

"Pakka wala wada?"

aankhon se takeed chahti woh usey koi jeeti jaagti guriya lagi.

"Haan pakka wala wada..!" 

woh hasa woh khil uthi. uske chehre par aik sath kayi rang aur kayi khawab baj gaye.

"Phir hum park jayege, aur pahadiyo par bhi chadege aur wahan daur tak jayen ge."

usne fiza mein hi haath buland kar ke kisi tasaworati sarzamen ki taraf ishara kar diya.

"Aur bohat sara ghume phiren ge. mouni kaka, mein aur Tipu aur tum aur.. aur Saleem."

Saleem ka zikar karte hue koi baat yaad aayi to chehray ke tasurat badal gaye.

"Ham Saleem ko nahi le kar jayen ge, wo baba se meri shikayte lagaata hai."

"Theek hai."

usne haami bhar li. woh khush hui. usne woh kisi khayaal ke tehat woh writing table ki daraze khich kar kuch dhoond ne laga. matlooba cheez nah milne par us ne wardrobe ka rukh kya. ab woh nichle khane mein kuch dekh raha tha. Jannat panjoo ke bal uske barabar baith gayi. jaise woh kuch dhoond raha hai to woh bhi dekhe woh kya dhoond raha hai. andar lakdi ka bara box rakha tha jisey poora nikaal kar usne farsh par rakh diya aur woh cheeze alag karne laga.

jo woh usey tohfatan de sakta tha, halanke usey apne khilone aur bachpan ki ashya bahut Aziz theen. kahaaniyon ki kitaaben, dhair saare rang aur markers chand gaadiya bhi thi jo chhotey size ki thi.

aur aik khubsoorat sa khargosh bhi tha. lakdi ka box siyah rang ka jis par harf "F" hard ki calligraphy ki gayi thi. slide kar ke khulta tha. andar teen dairies pack shuda haalat mein jo ki to rakhi theen. usne siya diaries pichhle saal kaafi mehngi qeemat par kharidi theen magar bawajood koshish ke bhi woh un par kuch likh na saka tha.

usne woh box jannat ko de diya. bhale se woh in safhon ko phaar kar zaya kere ya sabaq likh kar kharaab kere ya drawing banati rahe usey parwah nahi thi. bas woh chahta tha uski cheezo ko istemaal kere ke uske paas to har tohfa aur har cheez jo ki to pari rehti thi.

Jannat itni saari cheeze dekh kar be panah khush hui.

"Tum bohat achhe ho baba se bhi achhe"

use jab apni shadeed khushi ka izhaar karna hota to woh use nana se upar ka darja de deti thi. woh usey tahef ke sath ghar chhor kar aaya to kitni der tak uska dil bojhal raha.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now