•CHAPTER-03•

777 37 3
                                    

Mrs. Shirazi usay Wajdan House se muta'arif karwatay hue Manjhli Manzil par hi hall numa aik aise kamray mein layi thi jo dekhne mein kisi artist ka studio lagta tha.

Watercolor, oil paint, acrylic colours, har tarah ki pencil, mukhtalif brushes, canvas papers, heavy card stock, ghurz ke har woh material maujood tha, jo ek artist ko apni takhleeq ke liye darkhwast ho sakta tha. Usne ghoom kar charon taraf dekha.

Qudrati manzar ki be-panah khubsoorat paintings deewaron par lagi thin aur kuch peak shuda halat mein deewaron ke paas hi rakhi gayi thin.

Beshqeemati paintings, araishi ashya crystal, lakri aur mitti se bani munfarid aur mukhtalif decoration thi. Jannat ek ek cheez ishtiaq ke aalam mein dekh rahi thin.

"Jab hum yahan shift hue to mere mana karne ke bawajood Faris , Shirazi House se ye sab le aaya tha. Woh chahta tha main is ghar ko apni paintings se saja dun."

Jannat ne chonk kar un ki taraf dekha.

Electric wheel chair par barajmaan woh us ke paas aakar ruk gayi thin. Makeup se aari chehra nikhra ankhra asa lag raha tha.

"Aap...Aap artist hain?" Yeh sab paintings dekh woh hairaan hui thin.

"Bas shoqiyah rangon se khail leti thin"

Un ke honthon par madham si muskurahat thehr gayi.

"Shoqiyah aur khail..?" "Yeh kisi professional artist ka kaam hai kya...!?"

Jannat sarhaye bina na reh saki. Kamal ki artist thi, Mrs. Shirazi ne us ki ankhon mein ubhartay hairat tajassus aur ishtiaq ke melay jale tassurats ko bohat ghor se dekha tha.

Mrs. Shirazi ki tasweeron ko dekh kar asli qudrati manzar ka gumaan ho raha tha.

"Ek waqt tha jab mujhe lagta tha agar main painting chhod doon gi to zinda nahi rahoon gi."

Deewar par Hunza ki buland o baala pahaaron ki tasveer par mutaharrik Jannat ki ungliyan saakit ho gayin. "Maine painting chhod bhi di aur zinda bhi rahi....!" Inhone kaha.

Jannat ne murnay ki taraf dekha. Woh apne baayein haath ko ab bhi zara mushkil se harkat de paati thin.

"Jin se mutalliq hum yeh gumaan kar lete hain ke unke baghair nahi reh paayenge; to waqt apne taur par sabit kar deta hai ke unke bina bhi raha ja sakta hai...!"

Woh sun hui thi apni jagah, bhaala jaise dil par laga tha. Wujood-e-maazi aur haal ke darmiyan pendulum ki tarah jhulne laga tha. Usne azeez bhare ehsaas ke saath Mrs. Shirazi ko dekha... Unki aankhon mein bhi karb ki kami thi magar chehre par ek zinda muskan thehri thi.

Electronik chair ko mutaharrik karte hue unhone meez (table ) par rakha, araishi qalam utha liya. Paas hi patthar par nasb ghari rakhi thi, lakri ka box bhi jis ke takhtoon par intehaai khubsoorti aur nafasat se phool tarashe gaye the.

"Waqt behtareen ustaad hai, 'mehroomiyon' ke saath jeena sikha deta hai."

Halaq mein ubharti gilty ko bimushkil neeche utartay hue usne gaal par phislati lat ko kaan ke peechhe uras kar atrāf mein nigaah daudai thi. Woh apna zehan bhatkana chahti thi magar zehan tha ke is ek lafz mein ulajh kar reh gaya tha.

Paintings ke saath hi samaan se bhare cartoon box pade the. Woh panjon ke bal baith kar crystal ke gul daanon ko dekhne lagi, jin ki chamak aankhon ko khaira kar rahi thi. Paas hi ek aur box pada tha. Adh khula hua woh jhuk kar us card ko dekhne lagi jis par teesri class ke Faris Wajdan ki pehli position stars aur stickers ke darmiyan jhagmagarahi thi.

"Yeh Faris ka samaan hai...! bachpan se is ki aadat hai apni har cheez ko sambhal sambhal kar rakhne ki. Tum yakeen nahi karogi, is ke khilone bhi neeche kahin pade honge sahi aur salamat...." apne bete ke liye Mrs. Shirazi ke liye mohabbat hi mohabbat thi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now