کِسٹ نمبر 2
" 𝒋𝒊𝒏 𝒌𝒊 𝒌𝒂𝒔𝒉𝒕𝒊𝒚𝒂𝒏 𝒋𝒂𝒍𝒂 𝒅𝒊 𝒋𝒂𝒚𝒆𝒏, 𝒖𝒏𝒉𝒆𝒏 𝒛𝒊𝒚𝒂𝒅𝒂 𝑻𝒂𝒉𝒂𝒎𝒎𝒖𝒍, 𝒛𝒊𝒚𝒂𝒅𝒂 𝒔𝒂𝒃𝒓 𝒌𝒂 𝒎𝒖𝒛𝒂𝒉𝒊𝒓𝒂 𝒌𝒂𝒓𝒏𝒂 𝒉𝒐𝒕𝒂 𝒉𝒂𝒊 "---- •♡• ----
madham si sar sarahate peda karti khank hawae is ke wujood par kapkapi si taari kar gayeen. faris bohat agey nikal chuka tha. is ne aik baar bhi mud kar jannat ki taraf dekhne ki koshish nahi ki thi.
Jogging ke baad usne shower liya tha aur kapray badal kar jab neechay aaya tha to jannat kamaal glass wall ke us paar usey maali se ulajhti aur phoolon ko torti nazar aayi thi. Uski aankhon mein nagwari ubhar aayi. aik mamool sa bana liya tha is larki ne ke har roz kamray ko taaza phoolon se muattar karne ka. sir jhatak kar wrist watch pehante hue woh mrs. Shirazi ke kamray mein agaya tha.
"Aap tayyar ho gayi mummy?"
"haan beta!" mukammal tayari ke sath woh wheel chair par thi. bas head scarf le rahi theen. aaj un ki doctor ke yahan appointment thi. weakly check up ke liye jana tha unhen. pathani bhi un ke sath hi jaya karti thi.
mobile par kisi ka number Dial karte hue uski nigah be sakhta hi deewar geer khirkion ke samnay rakhi glass table par ja pari. woh thitak kar ruk gaya.
maiz ke kinaro ke sath gole dairey ki soorat mein tarteeb se rakhay gulaab ke phoolon par is ki nazar yun thahri ke woh hata hi nah saka. masli hui pankhudiya, tootay hue pattoun ki lehar aur salamat phoolon ka ghairao.
yaddasht ke kisi konay mein koi bhula basra manzar taaza huwa tha. koi aawaz gunji thi. parda lehraya tha aur phir aik aik kar ke safaid phool khirki se andar girtay chalay gaye thay. 'Get well soon' marker se likha pegham khirki ke sheeshay par ubhar aaya tha.
"Faris!" Mrs. Shirazi ki aawaz par usne choank kar apne khayalat se sar nikala phir murr kar unhe dekha.
"I'm ready beta!"
sir hila kar woh un ki janib barh gaya. magar woh phoolon ki is tarteeb se, lehron mein rakhay un patton se, aur flower vase mein rakhi kuch bhikri, kuch tooti aur kuch masli hui un pankhudiyon se peecha na chhura saka jinhon ne kuch der ke liye hi sahi, usey maazi ke hawale kar diya tha.
•••
"Hamari is kaghazi shadi ko poooray do mah hone wale hai" woh bed par nam daraaz laptop par kaam kar raha tha jab hathon par lotion lagatay hue woh usse mukhatib hui thi .
faris ne nazar utha kar usey dekha. sofay par woh khasay shahana andaaz mein baithi thi. fikar aur andeshon se paray.
"Kya, tumhara nahi khayaal ab hamein dosti kar leni chahiye? Jogging track par honey wali guftagu ke baad is ne ab khamoshi ka kufl toda tha. yani poooray pandrah ghanton ke baad.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...