2 episode

1.6K 25 8
                                    

woh kab se Shayan ke mobile par call karne ki koshish kar rahi thi
magar doosri taraf phone band tha.

aajao" darwazey par dastak ki aawaz sun kar is ne buland aawaz mein be zaari se kaha aur phir se mobile par number milaye .

jee mumma" darwaaza khol kar apni mamma ko andar atey dekh kar isne mobile neechey kar diya.

do baar Khadija ko tumhe bulaney ke liye bhej chuki hoon.
aakar khana to kha lo taniya unhon ne usey sarznish ki.

aap chalein.
mein bas thodi der mein aati hoon.
woh zich ho rahi thi.
aakhir Shayan ne mobile of kyun kya hai?

jab se office se aayi ho,
phone se chipak kar baithi ho.
aakhir kis ko phone kar rahi ho?

" ek dost ko, jis idiot ne parso se apna mobile band rakha huwa hai.
aur mein isse bhi badi idiot hu jo baar baar iska number try kar rahi hoon.

mobile se nazar hataye baghair taniya ne kaha aur dobara number Dial karne lagi to mamma ne agey badh kar mobile iske haath se le kar side table par rakh diya.

phone baad mein bhi ho sakta hai.
ab chalo tumahrey papa intzaar kar rahe hain.

"papa aagaye?
woh goad mein rakha takiya bed par rakh kar uth gayi.

haan. aur tum paanch minute mein neeche aajao.
warna mein tumahre papa ko bhejti hoon. woh dhamki amaiz andaaz mein keh kar kamre se chali gayi.

to tanya ne bhi fatafat mun haath dhoya aur baal clip mein jakad kar neechey dinning room mein aa gayi aur kursi ghaseet kar baithte hue noor ul huda se kaha .

kya baat hai papa!
aaj aap 9 bajey hi ghar par nazar arhey hain.

bas beta! ghadi ne dhoka dey diya.
warna mein to 12 bajne ke baad hi ghar aaya tha. shayad ataaq gayi hai. "

taniya ke shararti andaaz mein poochney par woh sanjeedgi se bolte hue aakhir mein yun ungli se kalayi par bandhi ghadi ko thonkney lagey jaisey ghadi waqai atak gayi ho.

table par apni nigrani mein khana lagaatein mein maryam Farooqi ne unki baat suni to unke mazaaq ko samajh kar khafki se boli

kyun? 12 baje se pehle ghar aney par pabandi hai?

maze se hansti taniya ne ek dam muh par haath rakh kar hasi roki aur mehfooz andaaz mein noor ul huda ki taraf dekhne lagi jo pehle jaisi sanjeedgi se bole.

nahi! lekin pabandi to 12 bajey ke baad aney par bhi nahi hai.
tanya ki hansi chhuut gayi.

to maryam sulag kar zor se boli.
bahadur! pani ab tak table par nahi pouncha.

tanya ne unke ghusse ko mehsoos karke kaha. bas papa!
ab kheriyat isi mein hai ke chup kar ke khana kha le warna aap ko mumma se zabardast daant par sakti hai.

"mashwara to bohat acha hai taniya!
par baat yeh hai ke tumhari mumma ko mujhe dantna pasand hai.
aur mujhe unse daant sunna. "

noor ul huda! khana thanda ho raha hai. unke tanbayi andaaz mein tokne par
noor ul huda ne badii farmaa bardari se samne rakhi plate mein salan dala
aur chapatiyo ke liye haath badhaya.

tumahre sahabzadey nazar nahi arhe. kahan hain ?

" wahan." maryam ne samne rakhe TV ki taraf ishara kya,
jis par Pakistan India cricket match live tally cast ho raha tha.

noor ul huda aur taniya ne aik sath TV ki taraf dekha aur taniya hairat se boli.
TV mein?

" TV mein nahi stadium mein.
doston ke sath match dekhney gaye hain. jawab dey kar woh taniya ki plate mein saalan nikaalne lagi jis ki plate ab tak khaali thi.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now