10

641 25 0
                                    

saadhey chaar baje ke
qareeb horn ki aawaz aayi .

flight actually take off ke
waqt hi late ho gayi thi.
london ka mausam to aap jantey hain. airport jane se pehley
agar aap inquiry se maloom kar lete
to itni zahmat na hoti.

aur azhar Farooqi ke sath
andar aate noor ul huda ne jane
kiya bolney wale the ke sofe par be khabar so rahi ladki ko dekh kar chup ho gaye.

Baba jaan ne bhi usey dekh liya tha.
yeh is terhan kyun sirahh hai?

" woh nagawari se paas khadi mulazma se bole jo gaadi ki aawaz par quarter se nikal kar porch mein aagai thi.

aur ab unke sath hi andar aayi thi.
baba jaan plzzzz!
inhone ne ahistagi se inhen toka phir mulazma se kaha."

tum jao" baba jaan ko sath liye
unke kamre mein chodh kar woh
apne kamre mein jane ke liye sofe ke paas se guzrey to gair iraadi tor par baazu par latka coat jhuktey hue us par phela diya.

woh -apne kamrey mein aaye
aur jooton samait hi bed par late gaye .

thakan ke maarey
Maliha ka bura haal tha.
dard se badan toot raha tha.
phir bhi Fajar ki azaan ke sath hi
hasb e aadat is ki aankh khul gayi.

aankh khultey hi usey sab se pehley
noor ul huda ka khayaal aaya
aur woh jhatkey se uth khadi hui.

khadhe hote hi koi cheez iske wujood par se phisalti hui is ke peeron par gir gayi.
isne -apne peeron ki taraf dekha.
yeh coat kiska tha aur is par kisne dala hoga?

Maliha ko yeh samajhney mein aik second ki bhi der nahi lagi.
jhuk kar coat uttha ke baazu par
daaltey hue woh ajeeb se ehsas se do chaar hui thi.

woh coat liye -apne kamrey mein aagai. coat bed par daal kar woh shower lene chali gayi.

das minute baad hi woh geele balon
ke sath kamre mein aayi.
balon ko toliye se sukha kar
isne chadar odhee aur jaye namaz bichaa kar qibla rookh khadi hoti.
isne niyat bandh li.

noor ul huda yun bhi sar khaiz the.
phir woh flight mein neend
poori kar chuke the.

woh track suit pehney
lawn mein nikal aaye.
dodhte hue lawn ke kayi chakkar
kaat kar woh aik jagah ruke,

baar baar jhuk kar
apne panjoo ko chute
woh aik baar uthey aur
phir jhukna bhool gaye.

woh apsraa nahi thi
magar apsraa lag rahi thi.
safaid kapron mein ihtimaam se
dupatta shaanon par phelaaye hue.

uske lambey num baal hawa se
lehratey baar baar uske chehrey par aa rahe the magar

woh be nayazi bani jhule par baithi thi
jo uske gudaaz pairon ke dhakke se aahista aahista ageein pichen jhool raha tha.

woh sar uthaye badhii mehviyat se aasman ko dekh rahi thi
ke tabhi Sooraj ka rasta roke baadal
ek dam se khiska aur
iska wujood kirnoon ki zard mein agaya.

woh hans padi aur hanstey hue
usne yun hi apna sar jhukaya
to nazar track suit pehney buut ki tarah sakit khadhey shakhs par padi.

woh jhijak gayi.
woh is waqt noor ul huda ki wahan mojoodgi ki tawaqqo nahi kar rahi thi.
is ne -apne aap hi soch liya tha
ke raat gaye aney wala,
din chadhney tak thakan utaarta rahega. woh utthi aur ghoom kar kamre mein chali gayi.

moon light in sun light. amazing!
" woh aahista se badhbadhaye

woh baal samait kar kitchen mein aagai. fatafat orange juice nikaal kar
isne jug mein dala aur jug,
glass Samaid trey mein rakh ke.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now