11

1.8K 50 9
                                    

Maliha ne waqai soch liya tha
ke woh dobara library nahi jayegi
magar us din jo kitaab isne issue karwai thi, woh teesrey din hi usey wapas le aayi.

library ke andar qadam rakhtey hi
isne mohtaat nazron se har taraf ka jaiza liya tha!

aur jab woh nazar nahi aaya
to mutmaen si ho kar.
kitaab wapas kar ke bahar aagai.

acha huwa jaan chhuut gayi
aur mujhe khud par jabar bhi nahi karna pada dil hi dil mein khush hoti seedhiyan utartey hue.

isne patharil‬e rawish par qadam rakha aur thitak kar ruk gayi.

rawish ke sath gali darakhton ki qitaar mein woh samney hi
aik darakht ke saaye mein
khada bazu lapetey.
usey hi dekhra tha.

Maliha ko ruktey dekh kar
woh chalta huwa iske paas aa gaya.

do din pehley mein ne
aapse kuch kaha tha.
umeed hai aapne is barey mein
kuch bhi nahi socha hoga.

Wo aisey bola jaisey usey sharminda karna chahta ho aur Maliha aik pal ko sharminda ho bhi gayi magar foran hi
sar utha kar uski taraf dekhte hue kaha.

aap ya to pagal hain ya deewany.
Maliha ke chidne ke jawab mein.

woh shararat se bola.
itna bada raaz aakhir
aap ko kis ne bta diya?

" mere wajdaan ne.
woh keh kar be nayazi se
doosri taraf dekhney lagi .

sach keh rahi hein?
woh bol kar hansa!

kya matlab?" woh bilkul nahi samjhi.

magar jawab dene ke bajaye
woh hanstaa hi raha.

woh uljhan bhare andaaz mein
usey hanstaa huwa dekhti rahi.
apni kahi baat ko socha to bhi
aisa koi lateefa samajh nahi aaya
jis par woh yun hans raha tha.

mein ne aisa kya ke diya hai
jo aap yun hans rahe hain?

" zabardasti apni hansi rokkk kar
usne Maliha ko dekha aur kaha .

"mera naam wajdan mustafa hai. "

Maliha ko foran hi iske hasne ki
wajah samajh aagai.
woh ek baar phir dil hi dil mein full speed se usey galion se Nawaz ne lagi .

aur mein pagal bhi hoon
aur deewana bhi kis liye hoon?
shayad yeh bataney ki zaroorat nahi.

" Maliha ne sar ko jhatka
aur agey badh gayi.

kya aap aaraam se kahin
baith kar meri baat sun sakti hain?

" uski aawaz par maliha ruki to woh minnat bharey lehjey mein goya huwa.

bas 5 minute.
ziyada aap ka waqt nahi lunga.

" ab Maliha ne zara dhiyaan se
uska chehra dekha.
shakal se to suljha huwa,
padha likhawa nazar aa raha tha.

Maliha ne socha,
baat sun lene mein koi harj nahi hai.

shakal se to shareef aadmi lagta hai.
agar mein tariqey se samjha du to ho sakta hai dubara pareshan na karein.

sochte sochte woh sidhiyoon par ja baithi. woh paint ki jebo mein haath daale
iske samney khada ho gaya .

mein aap se shadi karna chahta hoon. kya meri yeh khwahish sharian ya qanoonan na jaaiz hai?

" "balkl nahi. Maliha ne bolne
mein second ki der nahi lagai .

to phir? " usne poocha .

phir yeh ke aik cheez hota hai
muashra aur jis muashre mein
aap aur mein rehtey hain,
wahan rastey mein baith kar
shadiyo ke faisley nahi kiye jate. "

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now