24

454 18 0
                                    

lawn kaafi kushadah tha.
sirf chodaai hi paanch so gaz thi
aur 20 hazaar gaz par bane qasr e Farooqi se gird daire ki shakal mein charon taraf phela tha aur mehmanon ki tadaad mehdood thi.

Iftikhar hasan aur Munir hasan ke khandan aur amna ki family ke ilawa ginne chune kuch khaas log hi the.

is liye decide huwa ke function
qasr e Farooqi mein hi arrange kiya jayega.

mehndi ka din agaya magar maliha ki haalat mein koi farq nahi aaya.
iske ehsasat par barf jam chuki thi.

Sham dhal chuki thi aur qasr e Farooqi jagmagati roshniyon se bajaye noor bana huwa tha.

pehley cotton ke silver gota lage shalwar kameez mein Maliha ke kaanon mein motiyon ke bale jhool rahe the.

dono kalaiyon mein bhar bhar kar pehani kanch ki choodion ke age moti aur ghulaab ke mehakte gagre iski doodhiya kalaiyon mein saje the.

iske lambe balon ko motiye ki larioon se goondh kar chouti ki shakal mein sanvara gaya tha.

cotton ka peela dupatta
usne sar par oudh rakha tha.
ladkiyan use apni humraahi mein liye kamre se bahar ayi jo do din se iski mustaqil qiyam gaah bana huwa tha
aur seedhiyan utar kar hall ke bahar wale darwaze se hoti lawn mein agayi.

Maliha ko noor ul huda ke barabar mein bitha diya gaya.
ladkoon ne ubtan ka khail shuru kar diya.

magar larkiyon ko apne kapde bohat Aziz the. woh is khail mein shaamil nahi hui aur gane gaati rahi.

saare ladke safaid cotton ke shlwar kameez pehne hue the jin ka haal
ab bohat be haal ho chuka tha.

woh apne chehre hi rangne mein lage rahe. kisi ko Maliha ke barabar baithe is tamashe ko dekh kar haste noor ul huda ka khayaal hi nahi aaya.

khud ko bachate junaid ki nazar
un par padi to woh chillaya. bhayii!

Isey kehte hain be gaani shadi mein Abdullah deewana!
tum sab apna satya naas kiye jao.

Idhar dekho noor ul huda aaraam se hone wali begum ki baghal mein betha daant nikaal raha hai. "

phir to sab hi muthiyon mein ubtan bhare noor ul huda ki taraf dode.

noor ul huda ne jo is jam e Ghafeer ko apni taraf aate dekha to.

muhawratan nahi haqiqtan
Maliha ke sar ke upar se chhalang laga kar peeche ki taraf dode.

magar samad ne inhen japat liya.
phir sab inhen khaseet te hue beech hall mein le aaye.

ab noor ul huda ghaas par daraaz the aur har taraf se un par ubtan thopa ja raha tha.

woh chilane lage bas karo yaar!
kal meri shadi hai.
kyun shakal bigaad rahe ho?
bada naazuk dil hai tumhari bhabhi ka. bichari dar jayengi. "

Magar koi bhi inhe chodne par
tayyar nahi tha.
ghonghat mein laa talluq baithi
Maliha ne noor ul huda ki aawaz suni to sar utha kar dekha.

waqai noor ul huda ke chehre par itna ubtan mala gaya tha ke
ladkoon ke shikanje mein Maliha ko inhen pehchanne mein dikkat hui.

aur jab pehchan liya to
be sakhta zara sa muskarayi teen din baad Maliha! 

sameera ke be jaan chehre par kuch dekha tha aur woh bhi muskurahat.

usey apna saans
bahaal hota mehsoos huwa.
jaisey loha lohe ko kaatta hai aur zeher, zeher ka ilaaj hota hai,
khuda kare noor ul huda ki mohabbat wajdan ki mohabbat ke zakham ka marham ban jaye ameeen!
isne dil mein dua ki.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now