53 last episode

867 25 12
                                    

gaadi porch mein ruk chuki thi.
car ka darwaaza khol kar utarte wajdan ko dekh kar noor ul huda
unki taraf chaley aaye!

Assalamualaikum haadi bhai!
wajdan ne unki taraf musafah ke liye haath bedhate hue kaha.

noor ul huda unka haath thaam kar walaikum assalam kehte
unse baghal geer ho gaye.
kaisay ho? "

Allah ka karam hai. aap sunaein.
woh unse alag hotey hue boley.

phir Shayan ko dekhney lagey
jo gaadi lock kar ke
unhi ki taraf aa raha tha.

warzishi jism par black drees paint ke sath mehron colour ki shirt pehney liye
chodhey saraye wala Shayan,
noor ul huda ko pehli nazar mein acha laga tha.

Assalamualaikum haadi uncle!
" keh kar woh unke gale lag gaya.
unse gale mlitey hue iski nazar bahar aati taniya par padi thi.

taniya ne bhi usey dekh liya tha.
dono ki hi aankhon mein chamak lehrai thi par lab muskura na sake.

Shayan iske chehrey se nazar hatata
noor ul huda se alag ho gaya.

walikum assalam beta.
noor ul huda usey toseefi nigahon se dekh rahey they.

phir maryam ki taraf ishara karte hue wajdaan se bole.
Inse milo wajdaan! yeh maryam hain. meri biwi!

kaisi hein bhabhi? wajdaan khush ikhlaqi se muskuratey hue bole .

theek hoon. aap andar aayiyee.
aur Shayan beta! tum bhi aao na.

woh andar jane lagey to taniya ne jhat se agey ho kar wajdaan ko salam kiya.
pal bhar ko iska sar -apne kandhey se laga kar salam ka jawab dete.

woh noor ul huda ki humraahi mein andar aagaye.
noor ul huda inhen drawing room mein le jane ke bajaye seedhey laonj mein le aaye.

baba jaan kahan hain?

Uzair ne umair ke chup rehne ke isharey ko nazar andaaz karte hue kaha. .
woh to wajdan uncle ka sun kar
apne kamrey mein chaley gaye hain. "

aik pal ke liye har koi chup sa reh gaya, phir noor ul huda , wajdan se bole.

" tum betho, mein baba jaan ko lekar aata hoon. aur jane lagey to wajdan ne unka baazu pakas kar roktey hue kaha.

aap ijazat den to mein inhen le aoun. "

noor ul huda ne zara sa muskura kar sar hilaate hue ijazat dey di.
phir unhen liye baba jaan ke kamre tak
aaye aur haath ke isharey se andar jane ka kehte hue palat gaye.

********************
wajdan ne darwaza kholtey hue andar qadam rakha.
aur unki nigehain seedhi Maliha ki tasweer se ja takrayi.

aik pal ke liye wajdan ki ankhen,
wajdan ka dil ban gayi thi.

magar unhon ne foran hi khud ko sambhaal liya aur rocking chair par baithey baba jaan ko dekhney lage
jo unki taraf gehri nazron se dekh rahey they. woh chaltey hue unke samney ja khadhe hue .

kyun aaye ho tum yahan?
baba jaan chatakh kar boley "

mere pachtawey ko badhaane ke liye
ke 27 saal pehley jab Maliha meri minnatein kar rahi thi.

ke aik baar tum se mil loon
to tum se kyun nahi mila.
jao wajdan! jao.
mein aaj bhi tum se milna nahi chahta. tumhari soorat meri takleef ko
badha rahi hai.
unhon ne muh phair liya
to wajdan dukh se bole.

lekin meri takleef ka kya hoga baba jaan! aap ne 27 saal pehley bhi mujhe qubool karne se inkaar kar diya tha,
ab 27 saal baad bhi mujhe qubool karne se inkaar kar rahe hain.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jun 11 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now