45

319 12 1
                                    

Mujhe inki bimari ka pata chal gaya hein.
yeh Schizophrenia mein mubtala hain. woh dono baith chuke to
dr rehmat ne kisi sawal se pehley hi keh diya. -apne pichlle ravayye ke barkhilaf woh is waqt professional andaaz mein baat kar rahe the.

mustafa azeem ne unki baat suni, phir qadrey hairani se poocha yeh kya hota hai?

Woh samjhaney lage! Schizophrenia aisi nafsiyati bimari hein jisme mareez apni socho khwaishaat ki uljhi duniya mai jeeta hein.

Or haqiqat duniya or uske log yaha tak ke mareez ki apni shaksiyat Tak manzar pat Mai chali jati hein.

Agar ap kisi aise mareez se baat karenge iske jawaab apke sawalo se mail nahi khatein.

Uski harkat o saknaat bhi ajeeb hoti hein.
Or sath usme jazbaati behisi bhi mehfooz hoti hein.

Yaani woh chize jinpar dusre log khush ya udaas hote hein yeh us par kisi radde Amal ka izhaar nahi karta.

Apki Raye Mai yakeenan wo shaqs pagal hoga lekin technically Schizophrenia
Ke mareez pagal nahi hote.

Kyuki pagal usey kha jata hein!
Joh sooj bhooj na rakhta ho.
Lekin Schizophrenia ke mareez sooj bhooj rakhtey hein wo baton ko suntey bhi or thik se samjhtey bhi hein!
Par radde Amal ka izhaar nahi karte.

Darasal wo behrooni duniya ke muqabley Mai apne andar ki duniya ki taraf zyada mutawajja hote hein.

Agar ap inki is private world Tak ja sake to pata chalega ke unki btaien or harkaat so fisat manwi hein.

Is halat ho aam alfaz mein
self observation khetey hein
yeh is had tak badh sakti hein ke
mareez ke liye waqt ka ahsaas mit jaata hein.

Yeh bhi nahi bata sakta ke wo kis jagah par mojood hein.

Or bazukaat mareezo ki bhukh pyas Tak khatam ho jaati hein.
Wo lagataar kahi dino Tak Bina khaye piye zinda reh saktey hein.

Balki agar aap khana khilana bhi chahe to wo nahi khayenge.

Baaz excute case's mai to pateint personal higin or hajat Tak se beniyaaz ho jatein hein.

Apne aqsar aise logo ko dekha hoga.
Joh gardalood chehrey or khasta libaas par sadk ke kinarein par bethe rehtey hei.

Kabhi uhi khaala mein ghumney lagtey hein kabhi sar jhuka kar kuch budhbudhaney lagtey hein.
Or kabhi Achanak inpar junoon jaari ho jatein hei.
To wo chikhne chillaney lagtey hein.
Inme aksar logo ko Schizophrenia ka marz lahak hota hein.

Hum zyada tar unhe pagal samjh kar hakarat ki nazar sey dekhtey hein.
Baaz to pathar phekne se bhi nahi chuktey.

Schizophrenia ke state se guzarte wajdaan ko bhi in halaat ka samna padha tha jab logo ne uspar
awazein kasi or pathar pheke.

Apne laadle bete ke liye in alfaaz par mustufa azeem ka chehra mutagaiyyar ho gaya tha.
Muzammil ne foran unke hath pe hath
Rakh kar thapaktey huwe unhe relaxed karna chaha magar apne bete ke is guzrewe dour ko bardasht karna unke bas se bahar tha.

Dr rehmat isi sanjeedgi se kehtey rahe.
Wese apke bete ki personal tragedy se
Hatkar bhi yeh case bohot anokha hein.

Aam tor par Schizophrenia ka kisi jazbaati sadme se koi talluq nahi hota.

Magar wajdan ke marz ka barhayez Talluk maliha ki mout se hein.
Maliha ki achank mout ne use hila kar rakh diya.

Wo Aaj Tak is sadme se ubhar nahi saka.
Barhal mere tajurbe ke Mutabiq wajdaan mein Schizophrenia ke tamam ilamat payi jati hein.

Iski case history batati hein ke maliha ki mout ke bad wajdan self absorption ke Fez se guzra tha.
halaan k woh jald hi kisi propper ilaaj ke baghair is Fez sey bahar bhi agaya tha,

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now