42

284 10 3
                                    

Munir husn aur Afaq dupher ke khaney par choudhari Nawaz ki haweli mein madoo the khaney ke baad woh dono rukhsat le kar chal padhe.

Afaq ne kal wali jagah par hi jeep rukwa li aur baqi ka rasta paidal tey kar ke baap bete molvi saab ke ghar puhanche to wahan Mela laga huwa tha.

sab ghar wale wajdan ko Allah Hafiz kehney darwazey par jama they.
sab se fardaan fardan miltey wajdan ne un dono ko atey dekha to baqi sab ko chode kar molvi saab ke galey lag gaya. phir Alag hokar kehney laga.

mein in logon mein se tha jin ka imaan mashroot hota hai.
jab tak duayen qubool hoti rehti hain, Allah ki hamd o sana karte rehtey hain. par jahan apni marzi mein unees bees ka farq aaya,
,Allah par se yaqeen hi uth gaya.
mantey hain woh Qadir mutliq hai,
par uski qudrat ko apni khwahisaat ke tabey bhi karna chahtey hain.
chahtey hain ke woh wohi kere jo hamari marzi hai.

aur agar aisa nah ho to jhagadhney lagtey hain jaisey naa auzbillah woh hamari marzi ka paband hai.
aur hamari Mansha se hatt kar usne kotahi ki hai.

Allah par aitraaz uthana kufar ki nishani hai aur woh bad naseeb log kufar kya pastiyon mein utarte chaley jatey hain magar be khabri aisi ke sar utha kar fakhar se kehte hain,
hum sahib e imaan hain.
mein kufar ke gadhey mein gardan tak dhas chuka tha.
aur qareeb tha ke mere dil par kufar ki mohar laga dey,
lekin aap ne haath pakad kar mujhe in pastiyon se nikaal liya.

" molvi saab yun muskuraye jaisey kisi bachey ne nadani ki baat keh di ho.
o ️️ jhaliya! kisi dil mein imaan ki roshni kisi ke daaley se nahi dalti.
yeh moujza to Allah ke hukum se hota hai.

jab usne hi teri akhirat sanwarney ka beda utha liya to phir tu kon hota hai apni aqibat kharab karne wala?
kabhi kabhi dil karta hai, tujh se hasad karoon. .. aisa kya hai tujh mein jo uss ne tere dil mein apni loh ko bujhney nahi diya.

mein bas iska bandah hoon molvi saab!
aur -apne bundon par ahsaan karna uski aam aadat hai.

Uske ahsaan to koi bhi nahi chuka sakta, par aap ke ahsaan bhi mujh par kam nahi hain.
aap ke paas khaali haath aaya tha magar jatey hue mera daman bhara huwa hai. .. . pukhta imaan, kaamil yaqeen aur sabr se istiqamat se. ..
yeh sab mein ne aap se seekha hai.
,aap ka ahsaan kaise chukaunga molvi saab?

jo kuch bhi yahan seekha hai, usey Umar bhar yaad rakhna aur amal bhi karna, ahsaan utar jayega. molvi saab badi Matanat use ahsaan utarne ka tareeqa bta rahey they.
phir is ka shana thapthapa kar boley .
Allah Hafiz ! "

aur woh Allah Hafiz kehta dobarah unke galaay se lag gaya.
phir unse mil kar mullani jee ke paas aaya jo bachey ko sath lagaye khadi theen.

Allah Hafiz mullani jee!
mlani jee ko baazu mein le kar usne kaha phir apna sar unke agey jhuka diya.
woh wajdan ke sar par haath phair kar bosa dey kar boli. Allah ke supurd "

Chalo wajdan! der ho rahi hai.
" Afaq iske paas aakar bola.
mein bag le kar aata hoon.
woh sar hila kar kehta darwazey se andar sehan mein aa gaya.

Usne kandhey se laganey ke liye bag ka strip haath mein pakda hi tha.
ke kisi ne bag par haath ka dabao daal kar usey rokkk diya.

Usne palat kar is naazuk haath ko dekha phir sar utha kar samney dekhte hi uske andar hal chal mach gayi.

Maliha dono paon oopar rakhey chaar payi par baithi thi aur usne apna dayen haath badha kar bag par rakha huwa tha.

Uski akhon ki gehri jheelon mein tughyani thi.
Uske chehrey par aik khauf sa tha aur udaas honton ki kapkapahat khamoshi ki zabaan se wajdan ko ruk jane ke liye keh rahi thi.

woh yaqeenan be basi ki intahaa hoti hogi jahan aik ka ankhen dhabdaba jayen.

wajdaan strip wala haath neechey girata chaar payi par baith gaya.
mein kya aap ko bhool jata hoon
jo baar baar yaad dilaney chali aati hain? kaisey yaqeen dilaau ke aap yahan hein chahoon to bhi martey dam tak aap ko bhula nahi sakta.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now