22

561 18 1
                                    

wajdan ki subah bhaari
sar ke sath hui thi.
raat neend bhi bohat der se aayi thi,
is liye aankh bhi ni khuli.

roz woh aath bajey library ke
gate par hota tha.
aaj ghadi mein no bajte dekh kar
woh uchhal kar bistar se utha!

aur chakrate sar ki parwa kiye baghair pandrah minute mein tayyar ho kar bike ki chaabi pakde woh neeche tha.

Aisha ab bi isse naraaz nahi,
par use.khaali pait ghar se bahar jana dekha to bol padi.

jahan jana hai, nashta kar ke jao. " wajdan ne laonj mein ruk kar dinning table ki taraf dekha.

ammi! mujhe der ho rahi hai.

"der office ke liye nahi ho rahi,
jo nashte ke liye paanch minute nah ruqq sako. sab janti hoon, usi larki peechey ja rahe ho.

unse to kuch bolna fuzool tha.
Dinning table ke paas aakar office ke liye tayyar nashta kar mustafa azim se kaha .

abbu! bas aaj ka din hai.
kal se mein wapas firm join kar lunga. ""

aaj kya moujza hone wala hai?
aisha ne tanz kya to.
mustafa azeem toak kar bole.
bas karo aisha!

phir wajdan ki taraf rukh kya. bete! nashta kar lo.

" sorry abbu! mein bohat jaldi mein hoon. phir Allah Hafiz keh kar bahar nikal gaya. woh taizi se bike udaye ja raha tha.
magar is ke khayaal ki rooh isse bhi taiz beh rahi thi.

kabhi iska dheyaan Maliha ki taraf mud jata kabhi ammi ki taraf.
unka rawayya wajdan ko
pareshan kar raha tha.

main road par age ja kar aik kat tha,
jis se sidhe. haath par mud kar samne hi library wali gali thi.

wajdan ko is kat se mudd jana tha.
magar apne khayalat mein uljhey!
usey zara age ja kar dheyaan aaya.

bajaye iske ke woh agle kat se mudd jata, isne modd mudne ke.
bike ka handle poori terhan se ghuma diya. raftaar kaafi taiz thi.
bike lehrai aur slip hogayi.
wajdan sadak par girne ke bad
be hosh ho gaya.

pal bhar mein wahan logon ka
majmaa lag gaya.
koi ambulance bulwane ki baat kar raha tha aur koi police ko ittila karne par zor dey raha tha.

phir aik bhalley manas ne aik sath dono kaam kiye. is hajhoom se koi bhi wajdaan ke qareeb jane ko tayyar nahi tha.

bas 1 shakhs ne badii ahthyat ke sath
iski nabz check ki aur zindah hai ki khushkhabri suna kar peeche hatt gaya.

logon ki nazrein iske be hosh chehre par thi. yahan se hat to to bike par thehr jati, jis ka agla veil mad chuka tha.

magar isi hajhoom mein shaamil
aik faqeer ki nazrein bike se age foot path ke paas padhe is chhoote se bag par thi
jis mein wajdan ke shanakhti card
aur licence ke ilawa kuch raqam bhi mojood thi aur jo kuch der pehle wajdan unki kamar se bandha tha.

magar girney ke douran bakal toot jane ki wajah se nikal kar alag ja pada tha.
woh aahista aahista chalta foot path tak aaya, phir nazrein bacha kar woh bag utha ke apne kapron mein chhupa liya.

koi andhey faqeer ki madad karta jaye baba ki sada lagaata, laathi tikta huwa apni raah holiya.

kuch der mein hi police mobile ke sath ambulance aagai. jo thoda bohat traffic chal raha tha, woh bhi ruk gaya.

Maliha ki car bhi usi traffic
jam mein pans gayi thi.
aakhir isne paidal chalne ka faisla Kiya aur car se utar gayi.

foot path par chalte hue isne
aik uchakti si nazar jaye haadsa par daali, jahan wajdan ko strecher par daal kar ambulance mein chadhaya ja raha tha. magar hajuum ki wajah se Maliha iska chehra na dekh saki.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now