48

276 8 0
                                    

uski aankhon mein aik khayaal ki prchhayi thi.

jab isne sameera ko apna khayaal bataya to woh hairat se usey dekhati reh gayi .

mujhe hairat ho rahi hai Afaq !
aap dosti mein itna agey nikal gaye hain ke aap ko yeh bhi yaad nahi raha ke Maliha se aap ka bhaiyon jaisa rishta tha.

aur kisi bhai ko Zaib nahi deta ke
woh apni behan ke bare mein aisi baat
kere.

jab woh apni baat keh chuki to
Afaq ne pur-sukon andaaz mein kaha .

mujhe sab yaad hai.
woh mohabbat thi jo Maliha ne wajdan se ki thi aur mere dil mein unki mohabbat ka bohat ehtraam hai.

jab kisi ka itna ehtram kar liya jaye to insaan uske samney be bas ho jata hai. tum yaqeen karo, mein wajdan ke samne itna hi bebas hoon.

kehne ko woh mera dost hai.
magar mein iske samne inkaar ki jurrat nahi kar sakta.

ab tum usey chahey jo bhi kaho.
phir ussey gum sum dekh kar poocha. chup kyun ho gayeen?

woh dheemey lehjey mein boli .

aap ne baat hi aisi keh di hai,
koi kuch keh nahi sakta.
sameera ke chehre se fikarmandi jhalak rahi thi.

lekin mujhe nahi lagta ke abba aur chachu, wajdan ka aisa lehaaz karenge.

agar hum dono mil kar!
inhen samjhane ki koshish karen
to shayad baat ban jaye.
Maliha ke hawale se unke dil wajdan ke liye bohat gudaaz hain.
balkey aisa kon sa shakhs hai jo
Maliha se mohabbat rakhta ho
aur uski mout ke hai baad
usne wajdan ko dil mein jagah nah di ho.

phir sirf hum dono kyun?
Aisa karte hein!
phone kar ke sab ko bulawa letay hain. hum tamam cznz ka rishta
Maliha ke sath aik jaisa hai.
is liye inhen sath milana aasaan hoga. phir ammi, chachi aur phophoo ko hum khayaal bana kar abbu aur chachu se baat kar lenge to inhen manana qadrey aasaan ho jaye ga.

waisay tumhara idea hai to zabardast.

jao ja kar phone le kar aao.
mein abhi junaid ko phone kar ke keh deta hoon!

pehli flight se gohar aur phophoo ko sath lekar Karachi aajaye.
iske baad hum Saima aur uzma ko bhi bulwa lenge." theek hai.

par Samad aur Zara se aap aaj hi baat kar len. woh keh kar phone laane ke liye uth gayi.

Afaq ko -apne cznz ko apna hum khayaal bananey mein diqat nahi hui.
un sab ne Maliha aur wajdan ko aik dosrey ke liye barbaad hotey dekha tha aur shayad isi ka asar tha ke sab ne
Afaq ki baat par ittifaq kya
aur uski hadaayat par hall mein jama ho gaye.

phir Afaq , samad aur junaid ja kar badho ko unke kamron se bulaa laaye.
unhon ne jo hall mein majma laga dekha to hairat se aik dosrey ko dekha.

kya baat hai Afaq ! sab theek to hai na? Munir hasan ualajh se gaye.

Afaq ne kehna shuru kya.
asal mein baat yeh hai papa!
ke meine itney saloon tak
wajdaan ke ghar walon se
apna aur Maliha ka rishta
chupa kar rakha,

is liye woh Maliha ki mout ke barey mein bhi kabhi na jaan sakey.
aur ab un ki be khaberi confusion peda kar rahi hai .

kaisi confusion? Uski ammi ne toka.
Maliha ke jeeney marney se to pehley bhi unka koi talluq nahi tha
aur ab to unka beta lout aaya hai.

" yahin se to confusions shuru hoti hai
ke unka beta akela nahi lota.
Uske sath aik bacha bhi hai
jisey woh apni Danist mein wajdan ki haqeeqi oola daal samajh rahey hain.

to isse Maliha ka kya talluq?'
amna na samjhi se boli.

talluq yeh hai amna phuppo!
ke woh kyunkey yeh nahi jantey the
ke wajdan, Maliha ke intqaal ke baad zehni tawazun bagad jane ke baais ghar se chala gaya tha,

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now