25

427 19 4
                                    

Maliha ki zindagi ka
sab se kada din shuru ho gaya tha.

sameera muntazir rahi,
ab woh ro padegi.
ab wo zabt ka daman chode degi.
ab woh cheekh cheekh kar faryaad keregi.

koi hai jo meri zindagi le kar mujhe wajdan de de?

magar Maliha ke honton se
uff tak nahi aayi.
haan magar iski namazein
aaj kuch ziyada taweel hogayi thi.

namaz padh kar pichlle teen din ki terhan dua mange bagair hi Maliha ne jaye namaz uttha diya to sameera ne dekh kar toka. dua to maang lo. "

wo thakan bhare andaaz mein muskarayi. aik ka shukh, dosre ka dukh.
tum hi bta do, kis ke liye kya maanguu?

Maliha to aaj neem jaan ho chuki thi. chehra tha ke angare ki terhan dehak raha tha aur haath paon barf ki manind thande ho rahe the.

badi mumani ne iske hathon ki thandak mehsoos ki to pareshan ho gayi.
dekho zara amna iske haath
kaise thande ho rahe hain.

amna khaala is ke haath
apne hathon mein le kar narmi se
dabate hue boli.

haath to waqai bohat thande ho rahe hain magar shadi ke khayaal se aksar ladkiyon ka haal aisa ho jata hai.

aap pareshan nah ho.
lekin isne khana piinaa bhi to chode rakha hai.

sameera hi zabardasti kuch
khila dey to khila dey.
aur aaj to woh bhi minnatein karti reh gayi magar Maliha ne pani ka ghoont tak nahi bhara.

ab shadi ko aisa bhi
kya hawwa bana diya.
phir yeh kon sa yehdoor jane wali hai?

aik kamre se dosre kamre ka safar hai. gohar ne kaha jo khud bhi Karachi se biyah kar Lahore gayi thi.

lekin yeh mukhtasir se safar zindagi badalne wale hain.
aur zindagi ka badlaw to
ache achoon ko hila de.
jab ke Maliha to wese se bhi hassas hai.
choti mumani ne mudabirana andaaz mein kaha tha.

Sham se zara pehle hi shehar ki maahir tareen beauty Sion,
Maliha ko sanwaar ne aa pohanchi.

gehri afsurdagi ki chadar oodhey,
usne weerani liye sute hue chehre ke sath bhi Maliha par roop toot kar barsa tha.

Saima ne usey dekha
Or nazar utaartey hue kaha.
noor ul huda waqai qismat ka dhani hai.

Maliha khoob soorat bhi hai
aur khoob seerat bhi. "

aabb to mujhe bhi unki khush qismati ka yaqeen hone laga hai.
sameera ne iski baat suni to buut ki manind be hiss o harkat bethi
maliha ko dekh kar haule se kaha.

aik baarat hi to nahi aayi thi
magar baqi rasmein to ho sakti thi.

Idhar noor ul huda se tayyar ho kar lawn mein bane stage par jalva Afroz huwe idhar maliha ko ghaire mein liye baithi ladkiyan doodh pilayi aur joota chhupayi jaisi rusmoon ke liye bhaag dudh karne lagi.

tum nahi jaogi? "
dono mumaniya to maizbani ke liye pehle.hi lawn mein thi,
bas amna khaala hi
Maliha ke pass bhethi thi.

sab ladkiyan rusmoon ke liye
uthh gayi magar sameera wahi baithi rahi to unhon ne sameera se kaha.

woh sar ke lehja se faasley par baithi thi. amina khaala ki aawaz par sar utha kar inhen dekhte hue kaha .

dil nahi chah raha phuppo"
uski baat par woh hans padi.

tumahrey dil ko kya ho gaya hai? " sameera ne kuch kehna chaha
par isse pehle hi Iram a tapki phuppo ammi keh rahi hain,
aap neeche ajayee."

Dekho zara, dulhan ko
akela chode kar aa jaoon?
unhon ne khud kalami karte hue apni bhabhi ki akalmandi ko salam kiya
phir Iram se boli. kaam kya hai inhen?

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now