23

684 21 2
                                    

Afaq ki aankhon ka gair mamooli ta-assur dekh kar wajdan thitak gaya tha.

par yeh bhi janta tha ke haadse ki tafseel jane bagair koi chain se nahi baithega.

hall mein sab ke beech baith kar
woh haadse ke bare mein sab bta chuka to Afaq ne use mukhatib kya.

wajdan! mere kamre mein aajao.
zaroori baat karni hai.

"wajdaan, Afaq ke sath uth gaya to
unke peeche sameera bhi wahan se chali aayi."

tumhara accident aaj nahi hona chahiye tha wajdan ke kamre mein ate hi
Afaq ne usey dekh kar mutasir lehjey mein kaha to wajdan iske andaaz par choank kar bola.

"huwa kya hai? "

hum Maliha ki engagement
attend kar ke arhe hain.

aur teen din baad iski shadi hai."
wajdan ke sar par bomb phataa tha.

sameera kamre mein aayi to
use dekh kar Afaq ne kaha.

bahar se phone le aao aur ate hue darwaaza band kar lena"

sameera ulte peeron mudh gayi aur carllydor mein rakha phone utha kar kamre mein le aayi.

woh dono alag alag sofon par baithe the. jin ke beech mein table rakha tha. sameera ne phone table par rakha
phir darwaaza band karti woh Afaq ke barabar bethi aur kisi ke kahe bina hi receiver utha kar Maliha ka number Dial karne lagi."

Maliha fir behkisi ki kehfiyat tari thi
wo rawangi se Kalam chalte dil ke andar dabe Raaz dairy par likhti Jaa Rahi thi.
Ke darwazein par dastak hui.

Bed par bethi sar jhuka kar
likhti maliha ne hath rok kar darwazein ki taraf dekha darwaza khula hein.

Ajao uski awaz par
bahadur ne darwaza khol kar dekha.

Kaho kiya baat hein?

Bibi saab apke liye phone aaya hein.

Maliha ki nazron Mai
qainaat ghuum gayi thi.
Kiska dhadakte dil ke sath usne pucha.

Sameera Bibi ka.
Or maliha ne beydardi se
nichla hoth daaton se kaat dala.

Usse kaho Mai subha baat krungi.
Bol kar phir se wo dairy mai kuch likhne lagi.

Fir khud hi kuch soch kar
dairy band kar ke takiye ke niche
rakh ke bahar aagyi.

seedihoon ke ekhtataam par
relling ke sath abnos ka
uncha stool rakha tha,
jis par phone rakha rehta tha. ‫

bahadur ne receiver uthaya hi tha ke Maliha ne receiver iske haath se le kar kaha tum jao.

phir phone par hello kaha.

tumhe maloom hai,
aaj wajdan kyun nahi aaya tha? "

Maliha bhala kya keh sakti thi.
sameera ne iske bolne ka
intzaar bhi nahi kiya.
wajdan ka accident ho gaya tha.

Maliha ko relling thamna padi
warna woh gir jati.
phir relling ke sahare dheere dheere aakhri seedhi par baith gayi.

woh subah library hi aa raha tha ke
mod kaatte hue bike slip ho gayi.
tumhe yaad hai, subah jab hum jaam mein phas gaye the aur driver ne bataya tha ke kisi motorcycle wale ka accident huwa hai. woh wajdaan tha.

woh theek to hai?
Maliha ke halaq se
phansi phansi aawaz nikli.

haan theek hai."

shukar hai! Maliha ne be sakhta shukar ada kya to sameera poochne lagi.

ab tumhara kya faisla hoga? "

mera faisla!"

tabhi wajdan ne sameera ke haath se receiver le liya magar maliha ko boltaa sun kar chup hi raha jo keh rahi thi.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now