8

708 23 2
                                    

kuch der tak to woh yun hi khadi rahi jaisey kuch soch rahi ho, ab kya kere.

phir isne hand bag bed par dala aur khud bhi jootey utaar kar aaraam se lete gayi.

woh jis zawiye se laitee thi,
aatish daan ke oopar lagi tasweer
iski aankhon ke samney thi.

karne ko aur to kuch tha nahi,
woh yun hi is tasweer ko dekhney lagi.

yeh tasweer kisi 19 20 saal ki nojawan ladki ke chehrey ka close aap thi.

kushadah peshani par tikhein abroo kamaan ki terhan kaat daar the.
badii badi sunheri mael gulafi ankhen jin par kham daar palkon ki ghani jhaalar thi.

stoon naak, gaal surkhi mael bhare bhare the. honth gudaaz aur thorhee qadrey bareek thi.

chehrey ki rangat gundani thi
jis ke aitraaf mein shehad jaisi rangat waley silky lambe baal bikhere hue the.

kaanon mein motiyon ke
aawezein latak rahe the
aur kaandhon par pada safaid dupatta bhi nazar araha tha.

woh jo bhi thi, bilashuba Haseen thi. Magar husn bhi to do tarhan ka hota hai.

kuch chehrey aisey hotey hain
jin ko dekhte hi ankhen
chundhiya jati hain.
kyun ke kuch aur nazar hi nahi aata.

phir jab woh aankhon se
oojhal ho jate hain to
zehen yun hadhbdhha kar jaagta hai
jaise neend se jaaga ho.

phir jitni baar inhen dekha jaye,
apni kashish kho jate hain.

Albatta kuch chehrey aisey bhi hote hein jo aankhon ko chundhiyate nahi,
bandh lete hain yun ke phir kisi
aur taraf dekhne ko dil hi nahi chahta.

phir chahe woh aankhon se
oojhal ho jayen,
unka assar baqi rehta hai.
aur jitni baar woh samne ayen,
lagta hai pehli baar dekh rahe hain.

is ladki ka chehra bhi un cheharon mein se tha jin se nazar nahi hat ti thi.

bilkul isi tarha, jaise ab taniya ki nazar nahi hatt rahi thi.
taniya ne kayi baar dekha tha ke azhar Farooqi kisi but ki terhan baithey
ghanton is tasweer ko taka karte the.

unki mehfiyat par taniya ko hairat huwa karti thi.
lekin ab khud is tasweer ko dekhte hue bilkul mehv ho chuki thi.
magar iski mehviyat ki wajah mehez is ladki ka husn nahi tha.

tanya ne woh tasweer to sekdon baar dekhi thi magar tasweer wali ko kabhi nahi dekha tha.

phir bhi pata nahi kyun
usey yeh chehra bohat manoos lagta tha.

iske zehen mein woh sawal sar uttha rahe they jo bachpan mein is tasweer ko dekh kar iske zehen mein ate the.

woh kon hai? iski tasweer is ghar mein kyun lagi hai?.
iska is ghar ke makeeno se kya talluq hai?

Magar taniya janti thi ke
un salawon ko soch lena jitna aasaan hai, unke jawab jaan paana itna hi mushkil.

Use yaad tha,
aik baar jab woh bohat choti thi
to isne maryam se poocha tha.

mama! woh ladki kon hai jis ki tasweer dada jaan ke kamre mein lagi hai?"

tumhe uske bare mein jaanna hai?
woh aik dam Ghaiz o gazabb se boli.

taniya ne chaha inkaar kar de
magar nanni si bachi sehem kar haan mein sar hila baithi. phir kya tha.

maryam ne jhapat kar
iska baazu apni apni girift mein le liya aur iske galoon par thpdhon ki barish kar di.

noor ul huda ne maryam ko is harkat par danta aur koney mein khadi dehshat se kaapti taniya ke paas aaye.

"wo is qader khauf zada ho chuki thi
ke ro bhi nahi pari thi
aur rone ki koshish mein
iske halaq se layani awazi nikal rahi thi.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now