17

688 20 4
                                    

Usne mehsoos kiya tha,
aaj kal papa uss par kuch ziyada hi
nazar rakhey hue hain.

unhon ne taniya se to
kuch nahi kaha tha,
magar unki nazrein ab har waqt
taniya ko khojti rehti thi.

aur tanya nahi chahti thi ke
iski taraf se kuch aisa ho ke
woh choank jayen.

adhey ghantey mein tayyar ho kar
woh dinning table par chali aayi.? "

good morning mama
good morning paapa!
roz ki terhan hi aaj bhi dupatta
aur files uss ne baazu mein
daboche huwe the.

bag samaid baqi sab kuch sath wali
chair par dhair karte hue
isne haath mein pakda mobile bhi
uhi kursi par daal diya.

nazar ka chashma phisal kar
naak ki noke par aa atka tha
jissey noor ul huda ne haath maar kar sahi karte hue jawaban
ussey goodmorning kaha tha.

aur phir se akhbar ke safhey ulatne lage the. maryam ne kitchen ki taraf aawaz lagai.

bahadur! taniya ke liye nashta le aao. " taniya nashta kar rahi thi ke
noor ul huda ne akhbar side mein
daalte hue maryam se juice ke liye kaha.

Papa wese aap ki yeh aadat kaafi
alag si hai." taniya chor nazron se
inhen dekh rahi thi.

kon si aadat? " woh samjhey nahi.

yahi log chaye ke sath akhbar padhna pasand karte hain
aur aap akhbar padh kar
juice peete hain.

" yeh aadat meri nahi kisi aur ki thi.
unke muh se yeh aitraaf sun kar
Taniya ko waqai hairat hui thi.

usey andaza nahi tha ke
noor ul huda itne aaraam se
yeh baat keh denge.
jabkey is aitraaf ke peechey aik parda
nasheen ka naam chhupa hai."

aap ne kyun apna li?
yeh aadat kis ki thi?
isne jaan boojh kar nahi poocha ke
jawab ane ki tawaqqa nahi thi.

noor ul huda ne iski taraf dekhe baghair kaha .

kuch log hotey hain,
jin ki har cheez apna lene ko dil karta hai. yahan tak ke adaten bhi.

" papa! aap ne kabhi smoking ki hai? kuch der khamoshi se nashta karne ke baad isne phir poocha.

is baar noor ul huda ne kuch choank kar iski taraf dekha.

taniya thora sa gadh bada gayi.
apni poor tajassus fitrat par gussa bhi
aya magar ab to sawal kar chuki thi.
anjaan si ban kar omelette ko plate mein nachati rahi.

tum yeh sawal kyun pooch rahi ho?"
aise hi isne sarsari se andaaz mein kaha.

hum aadato par baat kar rahe hain.
aur aksar mardon ko cigrette peene ki aadat hoti hai. bas isi liye pooch rahi hon."

lekin noor ul huda ko kabhi bhi
cigrette peene ki aadat nahi rahi.
maryam ne kaha to noor ul huda bole. Nahi maryam! mein smoking kiya karta tha. "

tum smoking karte the? woh hairan hui. lekin mein ne to kabhi tumahre haath mein cigrette nahi dekha"

shadi se kaafi arsa pehley
mein ne smoking chode di thi.
warna London mein rehte hue
aur phir Pakistan ane ke baad bhi
mein kuch arse tak chain smokers huwa karta tha.

" iska matlab hai,
tum shadi se pehley kaafi alag the.
aur shadi ke baad tum ne
bohat si adaten badal li.

" woh dono apas mein bat kar rahe the. taniya nashta kar chuki thi.
Napkin se haath saaf karte hue
uski nazar table par noor ul huda ke samne rakhe unke wallet par padi.

woh diary mein likhi har baat ki
tasdeeq kar lena chahti thi.
isne haath badha kar wallet utha liya
aur phir badhe sarsari se andaaz mein noor ul huda ka shanakhti card nikaal kar dekhne lagi.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now