9

1.4K 42 7
                                    

diary padhney ki jaldi mein isne theek se khana bhi nahi khaya aur chand niwaley le kar hi apne kamrey mein aagai.

kamrey mein aakar is ne light on ki
aur darwaaza lock kar ke
draz mein se diary nikaal kar
bed par chadh kar baith gayi.

****** Dairy start*********

Maliha library mein baithi
kitaab ke mutaley mein ghark thi
ke usey -apne chehrey par kisi ki nigahon ki tapish mehsoos hui.

isne sar utha kar dekha magar koi bhi mutwajjah nazar nahi aaya
to sar jhatak kar wapas kitaab par nazrein jama di.

magar kisi ki nazron ka ehsas
badastoor tha. woh chidh gayi.

aaj teesra din tha
ke woh kitaab le kar bethi thi
aur kisi ki nazron ki shiddat
usey be chain karne lagi.

do din tak woh apna weham samajh kar nazar andaaz karti rahi
magar aaj sach much
usey gussa agaya tha.

isne kitaab band ki aur -apne aitraaf ka jaiza lena shuru kya.
iske bilkul samney
aik uncle akhbar padh rahey the.

magar unki safaid daadhi ka ahtraam karte hue isne -apne dayen janib chehra moud kar dekha.

wahan University ke kuch students bethe combine study kar rahey the.
woh group ke ladkoon ko mashkook nigahon se dekhney lagi.

magar kisi ne bhi iski taraf nahi dekha
to isne doosri taraf dekha.
woh koi ladki thi aur zahir hai yeh harkat woh to nahi keregi.

hall mein kuch aur log bhi they
magar Maliha ne kisi ko bhi apni taraf dekhte hue nahi dekha .

kya museebat hai?
usey sakht be zaari hui.

do din se yahi ho raha tha.
bethe bethaye mehsoos honey lagta
ke koi usey bohat tawajah se
dekh raha hai.

magar dhoond ne par koi nazar nahi aata aur woh ghusse mein kholti ghar aa jati .

apni taraf se to isne masley ka
yeh hal nikala tha ke aaj subah ke bajaye shaam ko aayi thi.

aur apni makhsoos jagah se
hatt kar bethi thi.
magar samney wala bhi
kaafi mustaqil mijaaz tha.

ghar ki tanhai se ghabra kar
woh yahan aati thi par ab lag raha tha
ke is nadeeda meharban ki wajah se
yeh ek loti sargarmi bhi tark karni padegi.

woh uthi aur kitaab ghar ja kar padhne ke khayaal se issue karwati bahar aagai.

                         *************

Excuse me miss!
woh pathar ki chodhe seedhiyan utar rahithi jab koi iske peechey se bola tha.

woh ruk kar palti to dekha sanwle rang ka aik ladka black paint shirt pehne
iski taraf araha tha.

jee! woh qareeb aa gaya to Maliha ne kaha aur is jee ke jawab mein.

isne jo kaha, usey sun kar
Maliha ka jee chaha ke iska sar phaad de.

be fikri se maathey par aaye kale baalon ko aik haath se hatatey hue woh badhe aam se andaaz mein bola tha.

aap mujh se shadi karengi?

Maliha ko pehle to laga
use sunne mein galti hui hai

phir use ghoor kar dekhte hue
kuch kehna chaha magar
phir apna irada tark kar ke
woh palti aur seedhiyan utrne lagi.
woh bhi sath holiya.

dekhiye naa to mein
aap se mazaaq kar raha hoon.
aur naa mera irada flirt karne ka hai.

mein poori sanjeedgi se
aap ko propose kar raha hoon.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now