12

655 22 1
                                    

raat isha ki namaz padh kar
Maliha apni diary liye balcony mein aagai.

jin ki nigah jism ke paar ja sakti ho,
woh bhi dil se age ehsas tak
phuonch kar ruk jate hein.

magar wajdan mustafa ajeeb shakhs hai. rooh ki baatein karta hai!
aur baatein bhi aisi ke
suno to dil chahe sunte hi jao.
par meri dua hai ke mein wajdan mustafa se dubarah kabhi na milu.

mujhe dar hai ke
yeh mujh se woh sab karwa lega
jo mein kabhi karna nahi chahti.
jise karne ki mujh mein
himmat bhi nahi hai.

" hum apne dil ko thapaktey hain
aur sochte hain ke titliyon ke paron par kahaniyan likh kar bachayen kaisey inhen dhoop ki tamazat se!

wajdan ke sath hui is doosri mulaqaat ko do mahine hone wale the!

magar Maliha ne is douran aik baar bhi library ka rukh nahi kya tha.
use yaqeen tha ke woh abhi bhi usi darakht ke neeche khada hoga.
jahan us roz woh use chode aayi thi.

woh laakh inkaar karti
magar yeh sach tha ke
woh usey disturb kar gaya tha.

iske dil ke darwazey to band hi rahe magar wohi dil mein is ada se aaya
jaisey Sooraj ki roshni band darwazon ki jhuriyon se guzar kar andar ke manzar ko roshan kar ke apne hone ka elaan kar de.

Maliha ki haalat is nadaan jaisi thi
jo un ayaan hotey manazar se sirf nazar karne ko hatheliyan aankhon par rakh le.

par jab ujaaley ne band palkon mein bhi rasta bnalya to tadap kar
wohi hatheliyan aasman ki taraf uttha den ke Sooraj ko hi dhaanp len.

wajdan mustafa ke wujood se phoot'ti roshni ne jab pehley pehal
Maliha ki aankhon ko chuva to
isne apni ankhen band kar li.

aur phir usey pata hi nahi chala ke
iski be khabri mein uske aas paas kitna Ujala bikhar gaya tha.

aur jab maloom huwa to woh andesha mohabbat se ghabra uthi.

ajeeb si haalat ho gayi thi uski.
baithe baithe choank jati,
boltey boltey aik dam hi chup ho jati.
aur jab kuch samajh nahi aata to
noor ul huda ke paas pahonch jati.

azhar Farooqi ne Maliha mein aayi
un tabdiliyo ko mehsoos bhi nahi kya tha.

lekin noor ul huda ne na sirf
un tabdeelion ko mehsoos kar liya tha balke woh thitak bhi gaye the.

Maliha ka be ikhtiyar
apni taraf aana inhen chonka gaya tha.

inhe study mein baithy kaam
karte hue bohat raat ho gayi thi.
unhon ne wall clock ko dekha
jo baara baja raha tha.
phir baqi kaam kal nimtane ka soch kar woh papers sematne lage.

tabhi maliha aagai
chaye ke do cup trey mein liye.

Usne trey table par rakhi,
khud bhi aik chair par baith gayi.

tum to jaldi so jati ho.
aaj abhi tak kaisey jaag rahi ho?
aur chaye bhi do cupp banai hai.
kya saari kasme. aaj hi tod dogi? "

neend nahi aa rahi haadi bhai!
" isne jaisey shikayat ki.

magar mujhe to bohat neend aa rahi hai aur mein bas abhi sone hi ja raha tha. woh use chedhne ko bole aur wo chhidh bhi gayi .

" aap koi sone nahi jarahe balke
mere sath chaye piyenge
aur baatein karenge.

" woh ise dekh kar bole!
zabardasti hai?

" haan hai to. isne saaf goi se kaha.
magar sirf aap ke sath.

jaisa tumhari marzi.
unhone cup utha liya aur
ghoont bhar kar kaha.
Iftikhar mamu aaye they.

" jii." cup honton se hata kar isne kaha." lekin aap to is waqt ghar par nahi the."

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now