33

1.2K 38 2
                                    

subha Punjab ke door daraaz ilaqe mein sarhadi patti ke bilkul qareeb waqe pasmandah gaon ki abadi mehez chand so nafoos par mushtamil thi.

molvi Abdul khaliq ka shumaar is choti si abadi ke motazeen mein
molvi Abdul khaliq gaon ke mauzin the.

aur jamaat ki imamat bhi
unke faraiz mein shaamil thi.
unke walid jinhein gaon wale
aqeedat se badhe imam saab kehte the.

molvi Abdul khaliq se pehle woh hi azaan aur namaz padhaya karte the.

adhey imam saab deen daar aadmi the. lekin unhon ne duniya ka daaman bhi nahi chodha tha.

Or bahusnu o khoobi deen aur
duniya mein tazun qaim rakhte hue unhon ne apni poori zindagi guzaar di.

apne bete ki tabiyat bhi
unhone inhi khatoot par ki.
paish imam ki zimmadaari sambhal ne se pehle woh Lahore se graduation kar chuke the.

phir jab woh apne waalid ke peeche namaz parhane lage to
bade imam saab ne inhen
rozgaar ko apnane ki targheeb di.

molvi Abdul khaliq ne ghar ke hi
aik kamre mein dukaan khol li.
mahine mein aik baar dukan mein samaan daalne ke liye woh shehar ka chakkar lagate.

unki dukaan mein ashiyae Khor o nosh ke ilawa buniyadi zaroriat zindagi ka samaan bhi mojood hota.

yani aik lehaaz se use gaon ka general store kaha ja sakta tha.

bade imam saab ka barson pehle intiqal ho chuka tha aur ab to molvi Abdul khaliq bhi buzurgi ki umar mein daakhil ho chuke the.

molvi saab ne gaon ki hi
aik ladki ke sath shadi ki thi.
magar Allah ne aulaad ki Naimat se mehroom hi rakha.

Rafiqa Hajra bi bi baqeed hayaat thi aur mulani jee" ke laqab se khaas o aam mein mashhoor thi.

Saalon se molvi abdul khalq
aik hi lagi bandhi routine ke
aadi ho gaye the.

Fajar ki azaan se zara pehle jis waqt raat ka aakhri pehlu dhal raha hota,
woh neend se jaag jate.
phir tahajjud ki namaz padh kar
biwi ko jagate, gaon ki ki galiyo se guzar kar masjid aa jate phir jab tak Fajar ki azaan ka waqt hota.

molvi saab masjid mein jhaado laga kar namazion ke liye sehan mein
darian bichaa chuke hote.

namaz ke baad woh kuch der
quran pak ki tilawat karte,
phir apni dukaan par uth atey jo phir Zohar ki namaz ke liye band ho jati.

namaz ke baad aik ghantey ka dars hota, jis mein bade ehkaam Shariat ke bajaye choti choti aam feham baton ko shaamil kya jata.

woh baatein jin se insaan ke kirdaar bunyadi dhancha tashkeel hota hai.
bade imam saab aksar molvi abdil khaliq se kaha karte the.

asal cheez bunyadi hai.
to bunyaad mazboot kiye jaa imarat
apne aap seedhi aur mazboot uthegi.

dars khatam kar ke phir molvi sahib dukan par aa bethe aur phir asar ki namaz padha kar ghar lote to
sehan mein gaon ke bache siparah aur school ki kitaaben le kar baithe
unka intzaar kar rahey hote.

molvi saab dukaan aur ghar ke sahen ka darmiyani darwaaza khol dete aur dukaan daari ke sath sath deen aur duniya ki taleem di jati.

yeh silsila maghrib tak chalta,
phir esha ki namaz ke baad
masjid mein hi namazion ki baithak hoti jis mein har terhan ke deeni aur duniyawi masle zair behas laaye jate.

yeh baithak aik se daidh ghante mein barkhast ho jati aur log uth kar
apne apne ghar ko sone chale jate.

itne barson mein aaj pehli baar molvi saab ki routine mein farq aaya tha.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now