16

592 16 1
                                    

8 bajtey hi Maliha ne
sameera ko phone kar diya
aur chut tey hi kaha.
tum abhi aur isi waqt yahan aa jao."

kheriyat to hai? kya huwa?
woh hairan thi.

sawal mat karo.
bas foran ghar aajao."

phir bi Maliha!
kuch batao to sahi."

bataney ke liye hi to bulaa rahi hoon.
iski aawaz mein nami mehsoos kar ke sameera pareshaan ho gayi thi
magar khud ko qaboo mein rakhtey hue kaha.

Achhaa theek hai.
mein aa rahi hoon.
tum pareshan mat hona."

15 minute baad hi sameera,
Maliha ke kamre mein thi
aur Maliha ki zabaan se sab haal sun kar woh waqai bokhla gayi.

tumne to kaha tha tum noor ul huda se mohabbat karti ho to yeh wajdan beech mein kahan se agaya?

" woh aajzi se boli.
Wo to mein ab bhi kahungi ke
mujhe haadi bhai se mohabbat hai
magar apni zindagi mein sirf
wajdan ke sath guzaarna chahti hoon. "

sameera ne sar pakad liya.

apne baba jaan ko tum
mujh se behtar janti ho.
unki zid misali hai.
woh apna faisla badal lenge,
aisa to sochna, bhi fizool hai.
woh kisi ke samjhane se samajhne wale nahi! lekin Allah ke waste tum to kuch samjhdaari se kaam lo. "

isne bed par ghutnon mein sar diye
baithi Maliha se kaha.
phir iske qareeb bed par baith kar
usey samjhane lagi.

dekho maliha sach to yeh hai ke
noor ul huda aur wajdan ka
koi muqaabla hi nahi.

balkey gair janib daari se
agar dekho to noor ul huda,
wajdan se kahin ziyada behtar hein.

haward university se mba kiya hai.
kis qader zameen jaidaad ke maalik hein, shayad unhe khud bhi theek se andaza na ho. aur kya gazabb ki personality hai.
mein ne aisa khoobsoorat mard
apni zindagi mein koi aur nahi dekha.

phir woh koi anjaan to nahi hein dhai teen mahine se tum dono aik sath,
aik chhat ke neeche reh rahe ho.

unki har achi buri aadat se
tum waaqif ho aur rukhsat ho kar bhi tumhe kahin aur nahi jana.
shadi ke baad bhi tum apne is
ghar mein rahogi. sab se badh kar yeh ke noor ul huda ko tumhari bohat parwa hai.

mein ne khud dekha tha,
shadi ke baad jab woh tumhe
lainey aaye they to is terhan tumhara khayaal kar rahe the jaise tum kanch ki gudia ho.

aur wajdan kya hai, sirf llb hi to kiya hai. abhi to usey apna career banana hai. status acha hai.
magar noor ul huda ki tarhan croro ka maalik to woh nahi.
personality theek thaak hi hai
magar noor ul huda ki terhan dashing nahi. wajdan kahin bhi noor ul huda ke samney nahi tiqta.
is mein hai hi kya
jo noor ul huda ke samney tik paye? "

Maliha ne sameera ko dekha
aur thaki thaki ki aawaz mein kaha.

is mein kya hai sameera!!
mujhe nahi maloom.
magar jis pal woh mere sath hota hai, lagta hai bahi zindagi hai.

iske lehje mein koi to baat aisi thi
ke sameera ne ghabra kar
iska chehra apne hathon mein bhar liya.

Maliha yeh bas kuch din ki takleef hai, sabr se jhel lo. phir dekhna,
noor ul huda kabhi tumhe takleef hone nahi denge. woh tumhe khush rakhenge.

woh aajzi se boli. ‫
haan janti hoon sameera par
mujhe khush rakhenge.
bhala yeh kaise ho sakta hai ke
mein haadi bhai ke sath khush na rahoon. magar mai zinda nahi rahungi. "

Maliha ! tumhe kya ho gaya hai?
kyun tum pagalo jaisi baatein kar rahi ho?

" sameera ne usey shaanon se pakar ke jhinjodh diya aur Maliha aik dam hi phoot kar ro padi.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now