39

397 11 2
                                    

noor ul huda ne gaadi porch mein le ja kar roki, phir woh aur maryam sath sath chaltey qasr w Farooqi mein daakhil ho gaye.

noor ul huda usey drawing room mein bithaney ki bajaye laonj mein le aaye.

tum betho. mein baba jaan ko bulaa kar lata hoon.
ussey bitha kar woh baba jaan ko bulaney chaley gaye.
kuch der baad unka wapsi hui to maryam unke sath girey balon waley surkh o safaid rangat ke ba roab shakhs ko dekh kar itrmad uth khadi hui jinhein dekh kar hi andaza ho jata tha ke woh yaqeenan fouji rahey honge.

safaid shalwar kurtey mein unke peeron mein kaley rang ke saada se chappal they aur aankhon par soonehre frame wala nazar ka chashma laga rakha tha .

maryam aik hi nazar mein unse mutasir hogayi thi.
Assalamualaikum uncle!
woh aam tor par hello se kaam chalati thi par unki shakhsiyat ka roab tha ke adab se salam kar ke sar ko zara sa jhuka diya. baba jaan ne uske sar par haath rakh kar kaha .

Walikum assalam! betho.
" teeno baith chuke to maryam ne kaha. mai bta nahi sakti uncle!
ke aap se mil kar kitna acha lag raha hai. par sath mein afsos bhi ho raha hai ke mein aap se pehley kyun nahi mili.
magar galti meri nahi hai.
mein ne noor ul huda se kayi baar kaha tha ke aap se milwadein.
par yeh santa hi nahi.
aur aaj bhi yeh to tal matol hi kar raha tha par mein zabardasti usey sath liye chali aayi .

bohat acha kiya. baba jaan dheemi muskurahat ke sath boley. aur mein to aap ke ghar ko dekh kar bohat impress hoon.

qasr e Farooqi waqai kisi mehal ki terhan khobsorat hai woh idhar udhar dekhte hue khush dili se keh rahi thi.

mehal to khoobsoorat hotey hain magar weraan se lagtay hain.
baba jaan ka lehja thakan se bhara huwa tha.

maryam jaldi hai se boli.
lekin mujhe qasr e Farooqi to weraan nahi lagta.
haan bas yahan khamoshi bohat hai.
par iski bhi wajah hai.
ghar mein bas aap aur noor ul huda hi to hein.
balkey asal mein to aap hi hotey hain. noor ul huda to aadhi raat tak bahar hota hai. aisey mein khamoshi to hogi hi.

" bahadur chaye le aaya tha.
maryam ne usey kaha.
chaye mein banaugi. tum jao.
" uss ne baba jaan ko dekha phir unke isharey par trolley chode kar chala gaya.

maryam ne trolley -apne samne khiskayiaur chaye bananey lagi .

yeh lijiye. aik cupp aap ka, dusra mera. aur noor ul huda to chaye peeta nahi.
Usne do cupp chaye bana kar ek cup baba ko pakdaya or dusra apne hath me lekar sofe par piche hokar Beth ti boli.

" noor ul huda cigrette nahi peeta to wajah samjh mein aati hai, yeh sehat ke liye muzir hein.
par chaye se parhez samajh nahi aata.

tum kya karti ho? baba jaan is ke tabsarey ko nazar andaaz kar ke bole aur woh chanchal si muskurahat ke sath noor ul huda ko dekh kar boli.

pehley kuch nahi karti thi.
lekin ab noor ul huda ka sar khati hoon.
" noor ul huda ne sirf muskuraney par iktifa kya to isne zara taiz lehjey mein kaha.

tum kyun chup ho?
kuch boltey kyun nahi?

mein bol kar kya karunga?
tum baba jaan se milney aayi ho.
Inse baatein kar ke jaan pehchan badhao. mein to inhe bohat achi tarhan se jaanta hoon.

unke lehjey mein saanp jaisi phankar ko mehsoos kar ke maryam ko bohat ajeeb sa laga usne aaj tak noor ul huda ko is andaaz mein baat karte nahi dekha to usey laga, usey vahm huwa hai.
par baba ka chehra dekh kar lag raha tha ke zeher ke assar se unka tanaffus rukne laga ho.
haath ki larzish par baa-mushkil qaboo pa kar unhone cup rakha aur uth gaye.

tum log baatein karo.
mein ab -apne kamray mein chalunga. unhone sambhal kar maryam se kaha aur chaley gaye.
maryam ko yeh sab bohat ajeeb laga. magar noor ul huda se is bare mein baat nahi kar sakti thi.
yeh unka zaati maamla tha magar woh ujajh gayi thi.
isne chaye ka cupp side mein rakha aur apni kefiyat ko normal karne ke liye uth kar deewar par lagi tasweere dekhney lagi.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now