49

319 9 1
                                    



In dono ko wajdan ke ghar ke laonj mein baithey kaafi der ho gayi  thi.

magar dono mein se kisi ki samajh mein nahi aa ha tha ke baat kahan se shuru karen to chanak Shayan bahar se bhagta huwa aaya aur Afaq ki goad mein chadh kar baith gaya.

uncle! aap Jawad ko kyun nahi laaye? mein ne uske sath cricket khelni thi.

“ aaj Afaq usey Maliha ke
hawaley se dekh raha tha,
shayad isi liye masomanana khafgi se muh phulata woh hamesha se ziyada acha laga tha.

Afaq ko is par dhero pyar aa gaya to jawab diye baghair muskorata huwa
iske gaal choomne laga.

beta! pehley salaam karte hain.
wajdan ne toka to Shayan ne lehrata huwa salam kiya .

Assalamualaikum uncle !

Walikum assalam “ Afaq ne usike andaaz mein jawab dey kar wajdan se kaha.
ab isey yeh bhi keh do ke
mujhe uncle nah kaha kere.
gheriyat si mehsoos hoti hai. “

haan yeh to hai.
uncle ka lafz to gheiron ke liye bana hai. aisha foran uski taied karti boli.
phir Shayan ko mukhatib kya.

” Shayan ! tum Afaq ko chachu kaha karo. aakhir yeh wajdan ke bhaiyon jaisa hai.

aur Afaq ko baat karne ka mauqa mil gaya. woh soch kar bola .

chachu nahi aunti!
aap mujhe isse mamu khelwayein. kyunke wajdan mere bhai jaisa hai.
lekin Maliha ka to mein bhai hi tha .

kya? aisha ke sath mustafa aazeem aur Aneeqa bhi buri terhan chokey.
wajdan bhi thitak gaya tha.

”ji haan. Afaq unke hairan cheharon par nazar dalta aaraam se keh raha tha. Maliha meri phophoo zaad behan thi. “ aik inkishaaf tha aur unki samajh mein nahi aa raha tha,
is inkishaaf par kis radde amal ka izhaar karen.
lekin wajdan ki chhati hiss ne usey koi ishara kya tha. woh taiz lehjey mein bola .

bas Afaq ! is ke baad kuch mat kehna .

lekin kyun? mein papa aur taya jaan ki ijazat le kar isi liye aaya hoon ke
uncle aur aunti, Maliha aur mere rishtey ke barey mein jaan jaye.
aur mein inhen yeh bhi bta dun ke Shayan mera bhanja hai.

Afaq ne papa aur taya jaan ka hawala is liye diya tha ke wajdan khamosh ho jaye. woh waqai chup sa ho gaya tha.
phir lab bhinch kar uttha aur launj se chala gaya.

Afaq usey jatey hue dekh raha tha
magar woh iske peechey nahi ja sakta tha. kyunkey mustafa azeem hairat se sambhal kar salawon ka silsila shuru kar chuke they.

aur Afaq ko unki taraf mutwajjah hona pada jo keh rahey they.

Maliha tumhari cousin thi,
itni badhi baat tum ne
hum se chhupa kar rakhi! kyun?

kyunkey wajdaan gum shuda tha
aur aap uski ghumshudgi ka talluq Maliha se jod rahey they.

agar us waqt mein kehta ke
Maliha meri cousin thi
to bad mazghi zaroor hoti.
magar ab halaat mein thehrao
aa chuka hai.
phir waqt bhi itna beeet chuka hai ke
is baat ko zahir kar dainey mein ab koi harj nahi. “

mustafa aazam lab bhichne lagey,
phir mashkook andaaz mein dekhte hue boley.

Maliha tumhari cousin thi aur wajdaan dost. aur jahan tak mera andaza hai,
tum unke raazdaar they.

sach batana Afaq!
kya wajdan ne ghar se jane ke baad tum se kabhi contact nahi kya?

“ nahi. lekin aap ka yeh andaza durust hai ke mein in dono ka raaz daar tha.

aisa kaisey ho sakta hai?
unhon ne uski la ilmi ko radd kar diya.

Maliha ko tum behan keh rahe ho or dost chahey kitna hi qabil aitbaar ho,
koi ghairat mand shakhs apni behan,
dost ke hawaley nahi kar sakta.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now