32

496 20 1
                                    

Kash tum ne pehle bta diya hota
Afaq to shayad yeh sab na hota.

Tab bhi yahi hota, taya abbu!
aaj phopha jaan ki jo haalat hai,
woh sirf is liye hai ke Maliha ab is duniya mein nahi.

lekin agar woh zinda hoti to phopha jaan kisi bhi qeemat par wajdan ko qubool nahi karte.

unki sakht tabiyat ko
aap mujh se behtar jante hain.
aur reh gayi Maliha to kon nahi jaanta ke use harne ka shoq tha.
jab woh hi hathiyaar a chuki thi to
aap kya kar lete?

Iftikhar hasan jante the woh sahi keh raha hai, is liye chup se ho gaye.

lekin muneer hasan mutmain na ho sake.

phir bhi Afaq !
tumhe bta dena chahiye tha.
shayad koi rasta nikal paata.

Maliha ne kon sa kisi gaye guzre ka intikhab kya tha?
woh aakhir kis bess par
wajdan ko reject karte?
bas aik zara si unki anaa hi to thi toot jati.

Afaq sahi keh rahe hain chachu
waqai koi rasta nahi tha.

Maliha kabhi bhi phopha jaan ki marzi ke baghair wajdan se shadi nahi karti.
aur phopha jaan bhi usski is kamzori se waaqif the.

phir bhala woh razamandi dete hi
kyu balke sach to yeh hai,
Maliha ki isi kamzori ne hi
phopha jaan ki anaa ko aasman par chadha rakha tha.

mein manti hoon unka rawayya
maliha ke sath hamesha hi naarwa raha. lekin Maliha ne bhi to kabhi palat kar shikayat nahi ki.
phir woh kyun ehsas karte? "

ab in baton ka kya faida?
jitna zikar karoge, itna hi dil jalega.
bas ab khatam karo is qisse ko.
choti mumani ke liye bi sach much
yeh topic bohat takleef de tha.
woh jhunjhla kar boli."

Afaq! mujhe wajdan ke paas le jao.
na jane kis haal mein hoga.
Iftikhar hasan fikarmand se ho gaye the. Afaq unki taraf dekh kar reh gaya.

aise kya dekh rahe ho? "
Afaq ne nazar jhukali.

yahi to pata nahi chal raha ke
woh kis haal mein hai.

kya matlab?"
amna khaala ne thitak kar poocha. wajdan parson raat se la pata hai."

kya kahan? Badi mumani sehem kar boli.

‫mai theek ke raha hoon.
wajdaan ghar se chala gaya hai.
parson jab mein use qabristan se le kar aaya to uski dimaghi haalat normal nahi thi.

phir mein ne hi use ghar drop kiya tha. yeh soch kar ke kuch der aaraam karne se iski haalat sambhal jayegi.

magar woh ghar se chala gaya.
iske nikalte hi uncle aur muzammil bhai iski talash mein lag gaye the.
magar koi faida nahi huwa.
woh abhi tak la pata hai.

sab doston, rishte daaron ke
ghar check kar liye.
pooorey shehar ke hospital dekh liye
lekin woh kahin nahi mila.

kal mein aur sajid, muzammil bhai aur uncle ke sath milkar sara din.
usey sadkon aur parko mein
talaash karte rahe hain.
shehar ka koi aisa kona nahi choda
jahan hum ne use na dhoonda ho.
samajh nahi aata use zameen nigal gayi hai ya aasman kahi se koi khabar tak nahi millti.

ab to police mein bhi report kara di hai aur subah ke sab akhbaron mein
iski ghumshudgi ka ishtihar bhi chap gaya hai. dua karein ki kahin se koi ittila mil jaye. "

is nai iftaad par har koi
chup sa ho gaya.

ya Allah yeh kya ho raha hai?
har taraf se buri khabrein mil rahi hain. sukoon to jaise ab hamesha ke liye Ruksat ho gaya hai.
Iftikhar hasn ghabra kar bole.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now