38

396 13 0
                                    

bahadur ne jhaank kar andar study mein dekha. noor ul huda files mein sar diye baithe they.

Saab! uss ki aawaz par unhon ne masroof se andaaz mein kaha. Haan bolo!

aap se milnay koi bi bi aayi hei.
unhon ne hairat se bahadur ko dekha.

raat ke gayarah bajey kon si bi bi mujh se milney aagai?

" mai kya jaanu? " woh khwamkhwa sharmaa gaya to noor ul huda jhunjhula gaye .

tum ne naam poocha tha?
" maryam bta rahi thi.

"aik pal ko to inhen yaad hi nahi aaya ke yeh naam kahan suna hai.
phir jab yaad aaya to uchhal pade.
o myy god! maryam Yazdani.
yeh ladki yahan kya kar rahi hai?
woh to khud kalami kar rahr the.
ja kar usey keh do, mein is se milna nahi chahta. woh rude se lehjey mein keh kar dobarah file's mein ualajh gaye

Bahadur jee saab! kehta drawing room mein agaya aur noor ul huda ka pegham hurf bah hurf maryam ke kaanon tak pouncha diya.

uske to talbo mein lagi, sar par ja kar bhujii.
mujhe -apne saab ke paas le chalo.
woh bigde lehjey mein boli to bahadur minminaya! Saab aap se milna nahi chahtey.

" shut up! woh halq ke bal chalayi. " mujhe abhi aur is waqt noor ul huda ke paas le kar chalo.

warna mai tumhara hashar kar dun gi.
bahadur bichara to uski unchi aawaz sun kar hi dar gaya,
apna hashar kya karwata?
jee mam saab! keh kar woh usey -apne sath liye laonj mein aaya,
phir daur se hi basement mein bani study ki taraf ishara kya.
"saab wahan hain.

" noor ul huda se daant paki thi,
isliye jaldi se keh kar gayab ho gaya.
woh shola baar andaaz mein study hain daakhil hui thi.
noor ul huda usey dekh kar hairan reh gaye magar chehrey se zahir nahi honey diya aur kamar kursi ki pusht se tika kar usey dekhney lagey jo chalti hui un ke table ke paas aakar ruki, phir non stop bolti chali gayi.

tumhe kis cheez ka ghuroor hai noor ul huda? chand murabbe zamiinon ka,
jinhein mein so baar khareed kar pheink sakti hoon.
tumahrey business ka, jis ka set up khada kiye tumhe chaar din nahi hue
ya tumhari personality ka,
jissey khaas banane wali bhi meri nazar hai.

tum ho kya aur tumhe yeh sochney ki zarurat bhi kaise hui ke tum meri insult kar satke ho?
uss din to mein ne yeh soch kar nazar andaaz kar diya tha ke tum shayad upset ho.

magar aaj jo tum ne kiya,
iski tumahrey paas koi wazahat hai?
kya laga tumhe, maryam Yazdani tum par mar meeti hei..

mujhe to taras aaya tha tum par ke itni young age mein tum kaam ke boojh taley dab kar akele aur dipressed ho gaye ho.

mein ne socha tha, tumhe -apne doston se milwaungi, un ke sath kuch waqt guzaar kar tum relaxed feel karo ge to tumhari dull life mein kuch energy aajayegi aur tum taiz lehjey mein boltey boltey achanak hi uski aankhon mein ansoo aagaye.

jo apni bezzati ke ehsas se ziyada noor ul huda ki be rukhi ke liye they.

forget it " bas aik pal ko is ki aawaz bhar aayi thi phir tanaffur se keh kar woh mudi aur jitni taizi se aayi thi,
Utni hi taizi se wapas chali gayi.

mujhe usey rulana nahi chahiye tha.
uss ki aankhon mein ansoo dekh kar itminan se uski salwatein sunte.

noor ul huda jhatkey se seedhey hue they. phir woh itni taizi se nikal gayi ke noor ul huda ko usey rokney ka mauqa bhi nahi mila.

aur ab woh baithey afsos kar rahey they. woh fitri tor par bohat caring insaan they magar Maliha ke baad unki is aadat mein khlal agaya tha.

lekin woh maryam se
excuse bhi karna chahtey the.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now