52

281 10 1
                                    



aaj wajdan se mil kar
carnal azhar Farooqi ka
zakham hara ho gaya tha.

woh Maliha ki diary ko muqaddas saheefey ki terhan seeney se lagaye
rocking chair par neem  daraaz

Maliha ki tasweer ko
nigahon mein qaid kiye hue they
aur unka dil Maliha se hum kalaam tha .

baba ki jaan! tumhe kya ho gaya hai? meri Maliha aisi to na thi ke
uske baba jaan usse affi mangte aur woh be niaz bani rehti.

27 saal ho gaye hain beta!
maaf nahi karna to saza hi dey do.
magar tum to apne baap ki
taraf dekhatii hi nahi.

tum se acha to noor ul huda hai.
maaf woh bhi nahi karta,
na saza sunataa hai.
magar usne be rukhi ka hi sahi,
koi rishta to rakha hai.
aur beta! ab to dil par
bloojh bohat badh gaya hai.

aaj wajdan aaya tha.
jate jate is boojh ka wazan
kayi mann badha gaya.

koi aisi Sabeel ho ke
yeh boojh mere dil se utar jaye.
unhon ne uh saans bhara jaisey waqai seeney par koi boojh dhara ho,

jisey uthaney ki ab taaqat nahi rahi
ke koi dastak diye baghair ni andar aaya tha .

aatish daan ki zard roshni mein inhen neen tareek ullah nazar aaya tha.
aur is hiole mein noor ul huda ka
sar apa dekh kar baba baan ko apni aankhon par yaqeen nahi aaya.

bhala woh unke kamrey mein kyun ate?woh bhi is waqt.
sunehri frame ki ainak utaar kar aankhon ki nami saaf karte
unhone dobarah sar utha kar dekha.

woh noor ul huda hi they
jo neem tareqi se nikal kar roshni mein aagaye they.

phir yun hi chaltey hue woh baba jaan ke samney do zaano baithey

aur unke dono hathon par
apne haath rakh diye .

mujhe maaf kar dijiye baba jaan!
woh jhuke sar ke sath nedamat se chor lehjey mein bole.
baba jaan ne hairat se kaha.
” kis baat ki maffi? “

is baat ki maffi ke
mein aap ka beta nahi ban saka.

is baat ki maffi ke
aap apni saari zindagi mere sukh ki khwahish karte rahe.
aur mein ne apni aadhi umar
aap ko dukh dene mein guzaar di.

is baat ki maffi ke
yeh jante hue ke
aap ko qasoor waar thehraney ka
haq sirf Maliha aur wajdan ke paas hai.
mein 27 saal tak aap ko
qasoor waar therata raha.

ruk ruk kar bolte hue woh baba jaan ko wohi puraney noor ul huda lag rahe the.

unhone ahistagi se apne haath chudhaa liye to noor ul huda ne sar utha ke
inhen sehmi hui nazron se dekha.

baba jaan ki aankhon se ansoo jari the. unhone isi ahistagi se noor ul huda ka chehra hathon mein bhara aur jhuk kar unke maathey par hont rakh diye.

27 saloon ki duuri aur narazi
aik pal mein hi gayab ho gayi thi.

baba jaan shafqat se bhar poor
aawaz mein bole.

kon kehta hai,
tum mere bete nahi ban sake?
tum Mere hi bete ho.
bas zara naraaz ho.
to kya beta, baap se naraaz ho jaye to beta nahi rehta?

ab woh unke baal suljha rahe the.
” tum ne mere sath koi zayad-ti nahi ki. tumhara gussa, tumhari narazi jaaiz hai.

haan, magar dil dukhkta hai to kya,
mein ne bhi to bohat baar
Maliha ka dil dukhaya hai.
shayad is terhan kaffara ada ho jaye. “

noor ul huda be taabi se
unke haath thaam kar bole.

” kyun uska dil Dukhate the ?.
jantey they, woh kitna udas ho jaya karti thi?

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now