50

255 9 6
                                    

Shayan aaya to sab hall mein jama ho gaye .

aao tumhari sab se jaan pehchan karwaun.
sab se Afaq uska taaruf karwa raha tha aur Shayan un rishton ko zehen mein naqsh kar raha tha .

raat mein woh gohar aur Zara bachon ko unke mushtarqa kamre mein sulaney ayen.

to kuch der baad hi Iram doodh ka jug uthaye kamre mein aagai.
Zara ki beti ne kuch nakhra to kya magar doodh bhi pi liya.

lekin gohar ke bete aur sameera ke bachon ne aaraam se apna apna doodh ka glass khatam kar liya to iram ne glass bhar kar Shayan ki taraf badhaya

aur woh naak band kar ke mein nahi piunga. " keh kar takiye mein muh ghusa kar late gaya to Iram paas baith kar usey gud gudaney lagi.

doodh piye baghair koi nahi so sakta. utho. aur woh letey letey hi dono haath utha kar inkaar mein hilaney laga to
sameera, Iram ko ishara kar ke boli .

dekha Zara ! Shayan , Maliha ka beta ho kar doodh nahi peeta.

" Shayan ke kaan khadhe ho gaye.
Zara muskurahat daba kar boli.
waqai, kitni ajeeb baat hai.
Maliha to doodh shoq se peeti thi.
magar Shayan.

Shayan ne zara si gardan moud kar
unki taraf dekha tabhi Iram bhi boli .

mein tab bohat choti thi
lekin mujhe yaad hai,
Maliha aapi roz raat ko soney se pehley aik glass doodh piya karti thi.

"Shayan uth kar baith gaya
aur bazahir uski taraf se anjaan bani khawateen se bola.

ammi ko doodh acha lagta tha?

haan. woh aik dosrey ko dekh kar sarsari andaaz mein boli to Shayan jaldi se bola .

mujhe bhi doodh bohot acha lagta hai.
aur khud hi Iram ke haath se glass
le kar ghataghat chadha gaya.

phir glass wapas kar ke haath ki pusht se muh ponchaney ke baad aaraam se late gaya aur ankhen band kar li.

In charon ke chehrey hansi rokney ki koshish mein surkh ho gaye they.

****************************

agli subah Iftikhar hasn
Fajar ki namaz ke liye ghar se
niklney lagey to unhone dekha ke Shayan gate ke paas baney sangee bench par chadh kar betha hai.
raat to unhone Shayan ki taraf dekha bhi nahi tha magar is waqt hairat ke zaire assar uske paas chaley aaye .

tum itni subah jaag gaye aur
itni thand mein bahar kyun aaye ho? "

namaz padni hai badhe nana!
magar mujhe pata hi nahi,
masjid kidhar hai. "

chhootey bachey ke muh se aisi baat sun kar inhen be ikhtiyar us par pyar aa gaya tha.

magar apne andaaz se unhone kuch zahir na honey diya aur sapat aawaz mein bole.

mein bhi namaz padhney ja raha hoon. mere sath aajao. "

aur woh jee badhe nana!
kehta chhalang laga kar bench se utra aur paas aake unka haath pakad liya.
Iftikhar husn ussey sath le kar chal padhe.

jatay hue woh poora rasta
baatein karta raha.
magar jab namaz padh kar
masjid se bahar aaye.

to Iftikhar hasn ne mehsoos kya ke
woh chup chaap sa hai.
usey dekh kar dil par boojh apada tha.

androoni darwazey ke bahar bane dalaan mein sameera ki ammi takhat par baithi quran pak ki tilawat kar rahi thi.

Shayan ne gate se andar ate hi Iftikhar hasn ka haath chode diya aur chalta huwa takhat ke paas aaya aur chappal utaar kar takhat par chadh gaya.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now