30

594 26 5
                                    

aisha khane ki trey liye laonj mein ayi to wajdan wahan nahi tha.

unhone iski talaash mein idhar udhar to dekha to khule darwaze se
unhone wajdan ko gate ki taraf
bhaag kar jate dekha.

woh usey aawazein lagati darwaze tak ayi magar woh gate se nikal chuka tha.

wapas palat kar unhone trey table par rakhi aur taiz qadmon se chalti hui
gate par aa gayi.

unhon ne bahar nikaal kar dekha to wajdan bhagta huwa kisi
gali mein mudd raha tha.

unki chhatti hiss ne inhen warning di thi yak dam palti aur jitna taiz daud sakti thi daurti apne kamre mein agayi aur sote hue mustafa aazeem ko jhinjhodha
uthiye mustafa saab!

wajdan ko roke.
woh kahin chala gaya hai. "
woh ankhen malte uth baithe.

wajdan aa gaya? "
unhone kuch aur hi sawal kya.

haan. aur chala bhi gaya hai.
mere dil ko kuch ho raha hai mustafa saab! mere bete ko mere pas le aye. "

woh asal surat_e_ haal ko samajh nahi paye the. bas itna samajh aaya ke wajdan ghar aaya tha aur phir chala gaya.

Ab aisha chaah rahi hain ke
mustafa azeem useyghar le kar aye.

woh bohat se sawal karna chahte the ke wajdan kyun or kese Gaya hein?

aur agar chala gaya hai to pareshani ki kya baat hai? wapas aa jayega.

magar jis terhan aisha mustafa ke paiir phool rahe the.
inhen ehsas huwa ke zaroor koi
gud badh hui hai aur
unke paas sawal ka waqt nahi.

foran wajdaan ke peeche niklana chahiye. woh jhatke se uth khadhe hue aur
night drees pehne hi sliper paon mein uchaste bahar bhage.

Aisha bahar agayi aur apne kamre ke sath wala darwaaza pitte hue muzammil ko aawaz mein dene lagi.

mustafa azeem unki taraf dheyaan diye bagair bahar nikalte chale gaye.

unki aur muzammil ki cars porch mein khadi thi aur wajdan ki bike bhi thi.
iska matlab woh paidal hi gaya hai.

taizi se sochte woh iski talaash mein
khud bhi paidal hi nikal pade.

darwaaza khol kar muzammil ne
apni maa ke hawaas bakhta chehre ko dekha to fikar mandi se poocha.
kya baat hai ammi? "

wajdan kahi chala gaya hai.
jao muzammil! usey dhoond kar le aao. "

kahan chala gaya hai?
aur pareshan kyun ho rahi hain?
woh bacha nahi hai. wapas aajayega.

mera dil keh raha hai muzammil!
woh wapas nahi aayega.
tum ja kar use le aao.
tumahrey abbu bhi gaye hain.

kya kuch huwa hai jo woh chala gaya?"
muzammil ko yahi samajh mein aaya ke shayad wajdan ki maa baap se koi baat hui hai aur woh jhagad kar ke chala gaya.
warna aisha itna pareshan kyun hoti.

mujhe nahi pata ke kya huwa hai.
lekin kuch huwa zaroor hai.
jab woh aaya to iske chehre se lag raha tha ke uske sath kuch ho gaya hai.

der mat karo muzammil! jao ja kar
apne bhai ko dhuundo. "
woh rone lagi to Muzammil ke sath
khadi aniqa agein ayi
or inke sath laga kar chup karane lagi.

ammi please ap roye to mat
Mai jakar usse le aata hoon.

Unke rone usne pareshan hokar kahan
fir andar se gaadhi ki chabi utha kar bahar nikal gaya.

gaadi lekar galiyon mai ghumkar muzammil ko wajdaan to nahi mila lekin mustufa azeem mil gaye.

Usne car rok kar unhe sath bitha liya fir dono baap beta galiyon ko
chordh kar main road par wajdaan ko talaash karne ke liye nikal gaye.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now