34

424 17 1
                                    

Magrib ki namaz ka waqt ho chuka to molvi sahib dukaan band kar ke
bachon ko padhta chode kar
masjid aa gaye. .

wudu kar ke azaan di..
phir bajmaat namaz ki imamat karwai aur dua maang kar tasbeeh ke dane girate ghar ki taraf chal pade.

chodan pandrah saal ka ladka bhagta huwa molvi sahib! molvi sahib!
chilla taa unke peeche araha tha.

Molvi sahib ne suna to ruk gaye
aur palat kar use dekhne lage.

woh qareeb aaya to poochne lage .
kya baat hai Munawar Ali ?

Adal badal saanson ke beech
jaldi mein bola.
dinu tange wala aapke maheman ke sath hakeem jee ki dukaan par bheta hai.
Usne kaha tha, aap ko khabar kar dun."

molvi abdul khaliq hairan se kehne lage. "mera maheman kon ho sakta hai?
aur ilm deen ko kahan mil gaya? "

Wo to pata nahi molvi sahib!

acha theek hai, mein ja kar daikhta hoon." unhon ne kaha aur hakeem jee matlab ki taraf chal padee.

unki phli nazar ilm deen ke chehre par padi thi aur doosri lakdi ke bench par ankhen band kiye lete saaien par.

jis ke chalon par hakeem ji
marham laga rahe the.

molvi sahib taizi se age aaye.
tumhe kahan mil gaya ilm deen? "

laree adde par swariyon ka intzaar kar raha tha ke yeh mujhe ticket ghar ki deewar ke sath pada huwa nazar aaya.

paas ja ke dekha to be hosh tha aur badan aise tap raha tha ke haath na lagaya jaye.

bas molvi sahib! phir mein jese tese kar ke tange mein dala aur gaon pahunchte hi seedha hakeem jee ke paas le aaya."

yeh tum ne bohat acha kya.
woh uske chehre ko dekhte hue
ilm deen se bole jo is saada se jumle phool kar gumba ho gaya tha.

phir iske bohat kehne ke bawajood bhi molvi Abdul khaliq ne use hakeem jee ki fees ada nahi karne di.

aur khud apni jaib se paise nikaal kar gullaq par baithe shakhs ko thama diye.

yeh dawa teen time ise khila dena."
chalte hue hakeem jee ne pudhiyo mein band sufoof inhen de kar kaha.

molvi saab ne pudiya le kar
inhen salam kya, phir saaien ko behoshi ki haalat mein hi uttha kar dinu ke tange me dale apne ghar le aaye.

shaam ke saaye gehre hone lage the
aur andhera phelne laga tha.
molvi Abdul khaliq andar se chota table utha kar le aaye aur iske sarahne rakh kar matti ke tail se julne wala lamp roshan kar ke table par rakh diya.

Mullani ji bhi soorat e haal ka
jaiza laine ke liye bahar agayi.

yeh kise utha laaye molvi sahib?
unhone is maflok al haal shakhs ko dekh kar achanbhe se sawal kya.

yeh hamara maheman hai."

holiye se to pagal lagta hai.
woh foran boli.

par baton mein sayana hai.
hosh mein aayega to to khud dekh lena."

par yeh hai kon?
woh ualajh kar boli.

to molvi saab jhunjhlahat ke
bawajood tahammul se bole.
o karmon wali! kaha na, maheman hai. Ab ziyada sawal mat kar aur ja kar thande pani ki pattiyan rakhne ka intizam kar.

bi chaare ka jism jahannum bana huwa hai. Uske maathe par haath rakh kar temperature check karte huwe.
fikar mandi se bole.

mullani jee ne phir koi sawal nahi kya aur aik katore mein pani le kar kisi purane kapde ko kaat kar.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now