46

256 10 3
                                    

Muneer hasn -apne office mein baithey they ke unke office ke darwazey par dastak hui.

Come in ki aawaz ke sath black paint coat ke sath white shirt par black tie pehney wajdan darwaaza khol kar andar aaya tha.

Munir hasn be atiyar usey dekhney lagey. usey dekhte hue har baar unka dil pighalne lagta tha.
woh -apne is ehsas ko koi naam na dey paate.

kya mein baith sakta hoon?
" woh unke samney khada pooch raha tha .

betho. unhone kaha aur woh haath mein pakdi file table par rakh kar kursi par baith gaya .

mera naam wajdan mustafa hai.
baat bohat purani hai,
lekin shayad aap ko yaad ho ke das saal pehley mein aapki legal firm mein wakeel ki hesiyat se job karta tha.

saboot ke tor par yeh appointment letter hai jo aapke office ki taraf se mujhe diya gaya tha. isne file mein se aik letter nikaal kar unke samney table par rakha.

magar Munir hasn ne usey haath bhi nahi lagaya aur usey dekhte rahey jo keh raha tha .

das saal tak kuch namsaad halaat ki wajah se mein office mein haazri nahi dey saka.

lekin ab mein apna job ko re join karna chahta hoon.

halaan k mein apni job par wapas aney ka qanoonan haq rakhta hoon.
kyunkey das saal mein nah to mein ne job se resign kya aur na aap ne mujhe nokari se bar tarf karne ke liye letter jari kiya .

lekin phir bhi mein apni sit par wapas aney ke liye aap se ijazat lena chahta hoon. "

woh chup hokar unki taraf muntazir nigahon se dekhney laga to woh boley .

tumhe apna taaruf dainey ki zaroorat nahi. tum jaisa laa parwa aur ghair zimmedaar wakeel meri legal firm mein or koi oppointment nahi kiya gaya.
aur apni is ek loti ghalti ko mein kaisey bhool sakta hoon?
tum intahaa darjey ke non professional shakhs ho.

aik larki ki khatir tum mahino office ko nazar andaaz karte rahey aur phir koi ittila diye baghair das saal ki chhutti par chaley gaye.

tum ne itna bhi nahi socha ke is waqt tumahrey do cases adalat mein chal rahey the, jinhein tum beech mein hi chode kar chaley gaye they.

tum ne -apne career ke sath jo kya so kya, magar meri aur meri firm ki reputation ko jo nuqsaan pouncha, woh kiya?

log kehte hain, jo ho jaye, advocate Munir hasn ke paas case le kar mat jana.

iske wakeel to client ko adalat ke kamrey mein chode kar bhaag jatey hain.

tum kis base par apni job wapas lene ki baat karte ho jabkey tumhari laa parwai ab bhi wohi ki wohi hai.
tumhe wapas aaye teen mahiney se ziyada ho chuke hain

aur tum ab ree joining ki application dene aaye ho. .. .

is baat ki kya guarantee hai ke job wapas mlitey hi tum pehley jaisi ghair zimma daarana harkatein nahi karoge?
" woh kisi boss ki terhan hi dapat kar bole.

wajdan ne aahista se kaha .

ab aap ko kabhi mujh se ghair zimmedaari ki shikayat nahi hogi sar! kyunkey aap ki bhanji jaisi aur koi nahi
jis ke liye mein is had tak chala jaun. "

Munir hasn ne afsurdagi se apni nazar jhuka li. phir daraaz mein se aik file nikaal kar uske samney table par
rakhtey hue kaha .

is case ko achi terhan study kar ke iske points banaao.
hum lunch ke baad is par baat karen ge. "

right sar! woh file le kar uth gaya to Munir hasn dheerey se bole .
kya ho jata wajdan! jo tum bta dete "

wajdan apna paon nahi utha saka,
gardan moud kar unse bola "
kya ho jata jo mein bta deta. ..

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now