7

839 20 0
                                    

woh bhi ek suhaani shaam ka
manzar tha.
garam ghaas par padhi hui
Trey thame woh sehaj sehaj
qadam uthati lawn mein rakhi chairs ki taraf badhi chali aa rahi thi

jin par Birajman azhar Farooqi aur
noor ul huda duniya mafiya se be-khabar naa jane kin baton mein uljhey they.
In dono ne hi uski aamad ko mehsoos nahi kya tha.

balkey noor ul huda to us waqt chokey
jab trey rakhney ke liye
jhuktey hue iska kaasni dopatta
shaney se sirak kar ghutney par rakhey
unke haath par aa pada.

ussne ek haath se dupatta kandhey par daaltey hue dosrey haath mein badhaa sa cup utha kar baba jaan ki taraf badhaya.

magar unhone haath mein pakda akhbar ek dam hi apne samney phela liya.

woh sun si ho gayi.
yeh ho hi nahi sakta tha ke
azhar Farooqi ne usey apni taraf
cup badhate na dekha ho.

noor ul huda ko bhi
unki yeh harkat achi nahi lagi thi.
woh khud ko bolney se rokkk naa paye.

baba jaan! woh apko cupp pakda rahi hai.

" azhar Farooqi ne zara sa akhbar ka kona neechey karte hue sarsari se andaaz mein kaha.

table par rakh do beta!
" aur phir se akhbar -apne samney kiya.

usne cupp unke samney rakha aur
usi khamoshi se kursi par baith gayi.

uska chehra pathar ki terhan be jaan tha. har baar apne nazar andaz kiye jane par uski kefiyat itni hi shadeed ho jaya karti thi.

noor ul huda uski is qadar hasasiyat par aksar hairan aur kabhi kabhar to pareshan ho jatey.

usey is trans se bahar laane ke liye
noor ul huda ne cupp uttha kar
iske samney kiya aur apni aadat ke mutabiq basha shat sey boley.

kya shaam ki chaye pina bhi
chode diya hai?"

uss ne choanktey hue unki taraf dekha aur saadgi se muskuratey hue
unke haath se cupp le kar ghoont ghoont peeney lagi.

ghar mein bekar baith kar kya karogi? tum university mein admission
kyun nahi le leti?

" inhen lagta tha,
iski had se badti hui
hasasiyat ki wajah tanhai hai.

halaanke ghar mein baba jaan aur
khud woh mojood they.
magar noor ul huda apni masrufiyat ki wajah se usey thik se time nahi
de paate the.

aur baba jaan jo ke retire the
magar alag thalag rehna
pasand karte they.

unhon ne socha, University jane se
Iski tanhai khatam ho jayegi.
aur phir shayad iski jazbatiyat bhi
kam ho jaye.

magar isne foran hi unke khayaal ko mustarid kar diya.

BA kar liya, kaafi hai.
mujhe agey nahi padhna.

" yeh kya baat hui?
" woh tok kar boley .

bas! kuch samajh nahi aaya to
isne kandhey uchka diye.

bas kya?
woh kabhi kabhar hi badhe roab ka
izhar karte they.

aur jab aisa karte, badhe aaraam se maroob ho jati jaisey abhi ho gayi thi.

woh isi lehjey mein boley."
mera khayaal hai,
admission to open ho chuke honge.
mein kisi din form le aunga.
tum bas fill kar dena.

magar haadi bhai! mujhe agey nahi padhna. " woh minminayi .

" kyun? "

mujhe course ki kitabein achi nahi lagti.

bada masoom sa andaaz tha.
noor ul huda muskura diye.
phir kya acha lagta hai? "

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now