40

369 12 0
                                    


Pyaas se maryam ki aankh khuli thi. oopar ko khisak kar usne table lamp on kya to iski nazar bed ke dusre koney par padi jo khaali tha.
shayad woh wash room mein ho.
Usne noor ul huda ki ghair mojoodgi par socha phir side table se jug utha kar glass mein pani daal kar peeney lagi.
kuch der guzar gayi aur noor ul huda nahi aaye to kuch pareshan ho kar woh bed se uthi aur attached baathroom ka darwaaza baja diya.
koi jawab nah pa kar usne darwaaza khol kar andar jhakka. wahan koi nahi tha. noor ul huda itni raat ko kahan chala gaya?
Usne pareshani se socha aur unko dhoond ne kamrey se nikal aayi,
neechey aayi to laonj khaali pada tha.

Usne study room mein dekha phir sittting room ke sath sath dining room or kitcehn ko bhi check kar liya.

magar noor ul huda kahin nahi they.
kuch soch kar woh lawn mein aagai.
lawn mein jalti layton ne raat ke is pehar mein kaafi roshni thi.
maryam ne aik nazar mein dekh liya ke wahan koi nahi tha.

Usne ishare se watch'man ko paas bulaya. woh dekh chuki thi ke teeno gadiyaan porch mein khadi hain.
phir raat ke is pehar noor ul huda kahan ja saktey they?

Watchmanpaas aaya to poochney lagi .

noor ul huda kahin gaya hai?
" nahi madam. Usne kaha phir uski pareshan shakal dekh kar poocha.
" kya saab andar nahi hain?
"
o sambhal kar boli." of course! andar hi hain. mein utthee to woh kamrey mein nahi they.
shayad baba jaan ke paas ho.
mein dekhatii hoon. "

haan madam! andar hi dekhen.
saab bahar nahi gaye.
phir raat ke teen baje woh jayen ge bhi kahan? "

usey tasalii dey kar woh wapas duty dainey chala gaya .

maryam ne keh to diya tha ke shayad woh baba jaan ke kamrey mein ho
par usey maloom tha ke itni raat ko noor ul huda bhala baba ke paas kyun jatay?

palat kar andar jane ke bajaye woh chalti hui pichli taraf lawn mein nikal aayi .

Noor ul huda wahan bhi nahi they.
Usne pehli baar is khauf ko mehsoos kya ke badhe ghar mein log kho satke hain.

baba ko jaganey ka soch kar hall ke khuley darwazey se andar aa gayi.
Achank uski nazar Maliha ke kamrey par gayi.

usey kabhi is taraf aney ki zaroorat nahi padti thi aur jab se usey pata chala tha ke seedihoon ke oopar wala kamra maliha ka hein

To woh udhar bhatakti  bhi nahi thi.
aur uska khayaal tha ke ghar ke baqi log bhi is taraf Shaz o nadir hi atey hongw

aaj pehli baar isne Maliha ke kamrey ke darwazey par pada tala khulla dekha tha.

Uski to shayad nazar bhi na padhti  par darwazey ke neem wa pato mein jhurri si bani thi aur isne maryam ko chonkaya tha.

woh relling thaam kar seedhiyan chadti upar aa gayi.
Usne zeeney se darwazey tak ka faasla do qadmon mein hi tey kar liya tha.
phir darwazry ki jhuri se jhaank kar dekha .

kamrey ki dewaron se hoti uski nazar Maliha ke bed par Jaa ruki.
kamrey mein andhera tha.
par hall ki roshni se kamre mein neem tareqi ka mahol ban gaya tha.
isi neem tareqi mein maryam ne
noor ul huda ko aik baazu aankhon par
rakhe bed par letey dekha tha.
Uske andar aandhiyan si chalne lagi.
aaj sahi maeno mein usey Maliha apni shiraakat daar lagi thi.

par usey khud ko sanbhaalna tha.
woh is mamley mein noor ul huda se sawal nahi kar sakti thi.
woh pehley hi maryam se

Isse mohabbat karte rehne ki ijazat le chuke they. Woh khud par zabt karti woh palat aayi.

magar andhera kiye bistar par laitee
Palak nahi jhapak saki aur noor ul huda ke intzaar mein jaagti rahi.
darwaaza khulney ki aawaz par maryam ne foran ankhen band kar li.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now