47

281 8 1
                                    

gadi mein bethe te hi sameera, Afaq se boli .

yeh log bhi ajeeb hain.
nah kisi se poocha,
nah sawal kya aur sab kuch khud hi farz kar ke baith gaye.

“ magar ab to wajdan saaf saaf keh chuka hai. bas baat khatam ho gayi.
lekin ghar mein kisi se zikar nah karna .
Sameera ko hidaayat karte hue Afaq ne engine start kar diya .

****************

Magar baat khatam nahi hui thi.
aisha ki haalat kharab ho gayi thi.
Aneeqa fatafat ja kar glucose bana layi, jisey pi kar hawaas kuch wapas aeye .

aap ne dekha mustafa saab!
woh kaise keh kar gaya hai ke
Shayan se hamara koi rishta nahi.
Uska dil meri taraf se saaf nahi huwa halaan k usne bhi to Maliha se shadi kar ke apni marzi poori kar li thi.
phir agar woh na jee saki to meri kya ghalti hai?

Aneeka unke paas baith kar pyar se
unke baal samettey hue boli.
woh jo bhi kahe magar sach to yahi hai naa ke Shayan aap ka khoon hai.
phir dil chhota kyun karti hain?

muzammil bhi khene laga.
Aneeka theek keh rahi hai ammi!
Shayan hamara khoon hai.
aur yeh rishta kabhi nahi toot sakta.

aur abbu! aap bhi Shayan ko hamesha samajhate rahe ke wajdan ke samne Maliha ka naam na le.
woh disturb ho jaye ga aur khud wohi ghalti kar di.

mujhe andaza nahi tha ke woh is terhan se react kerega.
woh afsurdah ho gaye.

aisha ne dupattay se khushk kar ke Shayan ko dekha jo abhi tak ro rha tha aur uski taraf –apne baazu phela diye. idhar mere paas aajao!

aur woh rotey rotey hi muzammil ke baazuon se nikal kar unki agosh mein sama gaya.

******************

wajdan dono hathon se sar thaam kar bed par baitha tha.
iske vahm o gumaan mein bhi nahi tha ke Shayan ke hawaley se iske ghar waley kya soch rahey they.

apni nakaam tamanna ko is roop mein dekh kar iske saarey zakham risne lagey they.

woh khud ko semathney mein laga huwa tha ke Aneeqa achanak hi bina dastak diye ghabrayi si kamrey mein chali aayi .

kya baat hai bhabhi?
“ woh usske hawaas bakht tagi par choank gaya .

bahar aakar dekho wajdaan!
Shayan rote rote be hosh ho gaya hai.

“ wajaad ghabra kar uttha aur bhagta huwa laonj mein agaya.

mustafa azeem, be hosh Shayan ko goad mein liye baithy they.
paas hi hawaas bakhta ki aisha haath mein pani ki bottle liye bathi
iske chehrey par cheenthe maar maar kar hosh mein laane ki koshish kar rahi thi.

wajdan ki jaan par ban aayi thi.
isne taizi se Shayan ko apni goad mein le liya.

Shayan ! woh iske gaal thapak kar aawaze dene laga." ankhen kholo beta!
meri taraf dekho.

magar uski sadayen bekar gayi.
wajdaan  ghabra hi to gaya tha.
usey hosh nahi aa raha abbu! chalein isey hospital le kar chaltey hain.

“muzammil, dr ko bulaney gaya hai.

“wajdan pareshani se lab katney laga. phir usey goad mein utha kar kamrey mein le aaya aur bed par lita diya.

chand minutes baad hi dr saab
muzammil ki sath  chale aaye the.

unhone achi terhan Shayan ko check kya, phir poocha.
yun to sab hi theek lag raha hai.
Lekin kahin aisa to nahi ke aap ne bachey ko kuch ziyada hi daant diya ho?

“kuch aisa hi hai.
muzammil ne wajdan ko dekh kar kaha .

aap ko itni sakhti nahi karni chahiye. bacha sehem gaya hai.
bahar hal mein injunction laga deta hoon. do ghantey mein usey hosh aa jayega.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now