21

592 16 1
                                    

woh aik khoob soorti se decorate kya huwa laonj tha, jis mein raat ke khane ke baad sab log baithe chaye ke sath gup shup kar rahe the.

double sofey par mustafa azeem
apne badhe bete manzil ke sath baithe the, kuch faasle par aisha begum baithi thi. samney manzil mustafa ki biwi anika thi aur wajdan unki baton se alag thalag carpet par apne aik saal ke bhateeje ko goad mein liye uske sath bazahir khel raha tha.

Magar andar andar woh alfaaz dhoond raha tha, baat kaise shuru kere.

phir isne achanak hi dhamaka kar diya. kisi ko khaas tor par mukhatib kiye baghair isne achanak kaha tha.

mein ne shadi karne ka faisla kar liya hai. " wahan baithe har shakhs ko
yeh sun kar yaqeenan khushi hi hui thi, magar usska jumla is qader gair mutawaqqa tha ke koi radde Amal hi nahi aaya.

mustafa azeem hairat sesambhal kar bole. hamare liye to yeh khushi ki khabar hai, magar tum ne jo yeh silsila shuru kar rakha hai, iske baad yaqeen ladki ke ghar walon ke liye yeh saal ki sab se buri khabar hogi."

abbu! I am srss. " uske mazaaq par woh sanjeedgi se unse bole.'

even i am serious son
Unhone aik dam sanjeeda ho kar kaha. mein ne kabhi bhi apne beto se laa parwai aur ghair zimmedaari ki umeed nahi ki thi. aur tumse even beyond my thoughts

khud mujhe wajdan se aisi harkato ki umeed nahi thi, magar ab usey lecture mat de.

mujhe iski laa parwahi ki
wajah samajh aagai hai.
aisha mustafa ne apne shohar ko bete ki class lete dekh kar toka,
phir maine khaizi se boli
ghalti wajdan ki nahi hai mustafa sahab!

balke meri aur aap ki hai.
beta jawan ho gaya hai
aur use khud bola ke
shadi karna chahta hai.
jabke yeh baat hamare sochne ki thi.

bilkul ammi!
yeh baat samajh mein bhi aati hai. wajdan be shak zimmedaar ladka hai,
par koi ho to jis ke liye zimmedaari uthai jaye.

kyun muzammil! aap ka kya khayaal hai? " Aneeqa ne shokhi se bolte hue
apne shohore se raye mangi.

shareef aadmi kabhi biwi se
ikhtilaaf nahi kar sakta.
aur yaha to ikhtilaaf ki gunjaish bhi nahi.

" to phir tey ho gaya,
agle hafta mein hi hum sab ja kar
Aneeqa ke maa baap se
Shehla ka haath maang lenge.

aik minute ammi! chup betha wajdan Shehla ke naam par aik dam bola.

mai Shehla se shadi nahi kar sakta."

sab se ziyada Aneeqa ko yeh baat nagawaar guzri thi.
iske tasurat dekh kar wajdan ne kaha.

sorry bhabhi!
Shehla waqai bohat achi ladki hai. "

jab achi hai to inkaar ki wajah?
mustafa azeem ne kisi qader
nagwari se poocha.

mein Maliha Farooqi se
shadi karna chahta hoon. "

aik second ki takheer ke baghair
wajdan ne jawab diya.

Har koi chup reh gaya tha.
Anika ko laga ke is lambi khamoshi ki wajah iski waha mojudgi hai.
is khayaal se woh uthi
Or wajdaan ke pas aakr bache ko
isse le kar wahan se chali gayi.

aaj ki baat nahi hai wajdan!
Muzammil ki shadi ke kuch hi mahino baad Aneeqa ke ikhlaq ko dekh kar
mein ne socha tha,
waqt aney par Shehla ko
bahu bana kar laungi. "

magar mein aap ki soch
mein bhi shaamil nahi raha.
aur mein to hairan hoon,
aap ne na sirf soch liya,
balke bhabhi se bhi baat kar li
aur mujhe aaj pata chal raha hai.

wajdan ko waqai hairat hui thi.
hamein bhi to aaj pata chal raha hai.

woh khafgi se boli.
phir khayaal ane par boli.
aur tumhe kahan mil gayi kya naam hai, kher jo bhi hai.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now