37

293 13 0
                                    

masjid se nikal kar
molvi Abdul khaliq tasbeeh ke dane girate ghar ki taraf ja rahe the.

mullani jee ko jo darwaze me khadhe dekha to thitak kar ruk gaye.

inhen yaad nahi aaya ke 25 sala azdawaji zindagi mein kabhi mullani jee ne
darwaze par khadhe hokar
unka intzaar kya ho.

hairan hote woh unke paas chale aaye aur unke uljhan bhare chehre par nazar daal kar puchhaa! kya baat hai?"

Wo aaya huwa hai.
mullani ji pareshani se goya hui.

kon? bolte hue molvi saab ne
unke oopar se andar ghar mein
nazar daali, phir inhe side mein kar ke ghar ke andar chale aaye.

khaali sehan ko dekhte hue
baithak mein aagaye.

bacha jaag chuka tha aur
saaien use goad mein liye
chaar payi par betha tha.

halaan k woh yak tak bache ko
dekh raha tha, lekin uski ankhen dilchaspi se khaali thi aur naa hi
woh bache se khel raha tha.

magar bache ko uski mojoodgi
bohat achi lag rahi thi.
woh kabhi apne chhoote chhoote naram haath iske seene par maarta!

aur kabhi uski daadhi mein uljha kar khinchtaa bohat magan lag raha tha.

pata nahi saaien ne molvi Abdul khaliq ki mojoodgi ko mehsoos kiya ya nahi, kyunke unke ane ke baad bhi
woh inhimak se bache ko dekhta raha tha.

Uspar se nazar hata kar molvi Abdul khaliq puche khadi mullani se bole.

dukaan kholne ka waqt ho gaya hai.
mein dukaan kholta hoon.
tum nashta bana lo.

lekin aaj nashta teen logon ka banana hai. woh yun bol rahe the jaise routine ki baat ho aur phir ja kar dukaan ka
darwaaza kholne lage.

mullani jee do ke baad teesra paratha bel rahi thi ke unhon ne saaien ko kamre se nikal kar bahar jate dekha! aur woh jhunjhulatein hue paratha lapetne lagi.

jungle mein lagi aag ki terhan gaon mein yeh khabar phel gayi ke saaien kisi ka bacha utha laya hai.

jo ab molvi saab ke
ghar mein pal raha hai.
Uske sath hi chemogaiyaan hone lagi.

molvi saab ka bohat ehtram tha,
magar baat hi aisi thi ke
isi shaam ki baithak mein
yeh zikar chal nikla.

aik baat suni hai molvi saab!
pata nahi sachi hai ke jhooti par saare pind mein shore macha hai ke
saaien kisi ka bacha uttha laya hai. "

jhoot suna hai. "
Jabbar urf jheere ki baat par
molvi Abdul Alkhaliq ne kaha.

woh kisi ka bacha nahi utha laya
balke bache ke wali waris khud bache ko iske paas chode gaye the.

" lekin bacha hai kis ka?
aik aur ne kaha.

dekh niaz Mohammad !
hamein to uski nigehbani ka farz
sonpa gaya hai.so hum kar rahey hain, baqi ki baatein to Allah jane.

unhon ne Matanat se jawab de diya. magar mullani jee zich hui ja rahi thi.

aqal ki baat kar zainab!
jis ne raat ke andhera mein bacha verane mein pheink diya, koi kahan se uska pata dhoonde?

unki baat par zainab boli. yeh bhi hai.
par kuch din intzaar kar ke dekh le. shayad koi use laine aajaye.

Zainab! tu waqai kam aqal hai.
" aik doosri aurat boli."
agar lene hi aana tha to
koi chode ke kyun jaata.

lekin mullani jee!
maamla to mashkook hai.
koi kyun apna bacha phainkega?
woh bhi itne sohne munde ko.

mere ghar wale ne munde ke chakkar mein teen bayah kar liye,
ab kehta hai choutha kerega.
bhala koi waris ko bhi pheink deta hei?

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now