13

645 19 2
                                    

car gate par rokkk kar noor ul huda ne Maliha se kaha.

jao! to isne kaha.

aap andar nahi ayenge?

“ is waqt mujhe kahi aur jana hai.
andar jaoonga to der ho jayengi.
" unhon ne majboori bana kar kaha.

Maliha hairan nazron se haadi ko
dekhte hue gate ki taraf chal padi.
teen manzila is bade se makaan mein Maliha ke dono mamu ke khandan abad the.

badey Iftikhar husn ki teen betiyan thi. uzma , Saima aur sameera.

Badii dono shadi shuda thi.
sameera, Maliha ki hum umar thi
aur ab iska number tha.

chote mamu Munir husn ke sab se
bade bete Afaq the jin ki
sameera ke sath shadi honi thi.

unse choti gohar shadi shuda thi,
phir samad tha jo Maliha aur sameera ka hum umar tha, aur isse choti Iram thi jis ne dor bail ki aawaz par gate khoola tha.

phir maliha ko dekh kar
haayee Maliha aapi! aap"
keh kar is se lipat gayi
phir foran hi alag ho kar andar
sab ko bataney bhaag gayi.

Maliha ne gate band kiya aur bag utha kar bada sa laun paar kar ke dalaan tak pohonchi to sab ghar wale!

iske istaqbaal ko aa phuche the.
sab se pehle iski nazar khaala par padi. Assalamualaikum khaala! woh salam karti un ke galey lag gayi .

Walaikum salam beti! jeeti raho.
Allah Umar daraaz kere.' sath lipataye woh Maliha ko duayen deti boli.

aaj subah hi pahochi hoon.
soch hi rahi thi ke junaid jaag jaye to
isse kahungi, mujhe Maliha se mila laaye. dekho zara kahin qabuliyat ki ghadi thi.

“amna! kya bachi ko darwazey par rokkk kar khadi ho? andar to le aao.
yeh badii mumani thi.
Maliha ne inhen bhi salam kya!

andar aa jao. woh salam ka jawab de kar usey sath le kar andar badhe se hall mein le ayin jo sitting room ke tor par istemaal hota tha.

woh sofey par baith chuki to mumani ko khayaal aaya. Maliha ! kya akeli aayi ho?

nahi mumani jaan!
haadi bhai chode gaye the.

“ noor ul huda?
unhon ne tasdeeq chahi.

Jiii!

to darwazey se kyun jane diya?
rokkk leti"

Unhe kisi zaroori kaam se jana tha.
keh rahe the phir ayenge.

noor ul huda bhi jawan ho gaya hoga. aakhri baar jab mein ne dekha tha to satrah athaara saal ka tha.
amna khaala ne hawai tabsarah kya.

choti mumani boli! Aisa waisa? aapa! nigah nahi theharti.
Faryal hoti aaj to bete ka sadqa nkalti. aakhir paalne wali to wohi thi.
Allah jannat naseeb kere, usne kabhi apne paraye ka farq nahi kya.

tabhi to noor ul huda ne iske ghar se rishte jod rakhey hein.
London se atey hi dosre din mamuo ko salam karne ghar aaya tha.

phir Maliha se boli. ”
Bhai sahab kaisey hein?

“ theek hain.
Afaq bhai nazar nahi arhe?

apne kisi dost ki talaash mein nikle hein.

aur sameera? “ isne mazeed poocha.
apne kamre mein hai.
jab se maiyon bithaya hai,
sara waqt soti rehti hai.
kehti hai farigh baithe aur kya karoon? “

mein use dekhtii hoon.
woh darwazey ke sath mojood seedhiyan chadhti upar sameera ke kamrey mein aagai.

suna tha! shadi qareeb ho to
raton ki neend udd jati hai
par yahan to din mein bhi
khawab e khargosh ke mazey liye
jarahe hein.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now