18

598 18 1
                                    

sab ghar wale lawn mein the.
taniya ne gaadi porch mein khadi ki
aur khud bhi is taraf aagai jahan
noor ul huda ke siwa sab mojood the.

woh baith chuki to maryam ne poocha. chaye mangwau tumahrey liye?

rehne den mamma mood nahi hai.
isne thakey thakey se andaaz mein mana kar diya aur baba jaan ko dekhney lagi.

kya karoon?
kya dada jaan ko bta doon ke
jis beti ko saza dene ke liye barson se
iska naam unki ya kisi ki zabaan par nahi aaya, woh har cheez se be niaz ho chuki hai.

jisey mohabbat karne ke jurm mein
ghar se nikala tha,
woh unke dil se to na nikal payi
par duniya chode gayi.

lekin kya waqai yeh nahi jante ke
unki beti marchuki hai?

isne socha. haan! yeh nahi jante honge. agar jante to Maliha ki saza khatam ho chuki hoti.

qasr e Farooqi mein iske naam ki Fatiha padhi jati. aur Maliha ki diary ko seene se lagane ke bajaye dada jaan,
Maliha ki zinda nishani Shayan ko seene se laga lete.

par yeh kaisi anaa hai ke
beti ki diary ko seene se laga kar
iski tasweer ko ghanton dekhte hue
dil hi dil mei use yaad to kar satke hain.

par iski khabar nahi le satke.
27 saal mein aik baar palat kar nahi dekha ke woh zinda hai ke marchuki.

aur paapa iske dil mein tees utthee.
papa se kaise kahungi ke jis ki mohabbat ka bojh karzzzz ki terhan utha rakha hai.

woh to apna farz bhi nahi nibha saki. wajdan ki khatir sab kuch chodney wali aakhir usey bhi chode gayi aur
apne bete ko bhi.

is ke dil ki haalat ajeeb ho rahi thi.
woh change karne ka keh kar uthi
aur apne kamre mein aagai.

                ****************

faiza abhi office se aayi thi
aur atey hi bed par dhair ho gayi.
susti se leti woh soch rahi thi ke
uth kar change kar le par
thakan aisi thi ke uthna bi mushkil lag raha tha.

tabhi horn ki aawaz sunai di.
faiza is horn ko phechanti thi.
woh chhalang laga kar bistar se uthi
aur khidki se neeche.porch mein
jhaank kar dekha, phir zor se chillai.

wajdan uncle.
" gaadi se utar te wajdan ne aawaz ki simt dekha to faiza ne haath hilaya aur pehle se bhi ziyada onchi aawaz mein boli.

mein neeche aa rahi hoon.
phir chappal pehne baghair hi bhaagti bahar aa gayi.

kya ho raha hai bhayi?
wajdan uski taiz raftari par bole.
woh unke shaney se lag gayi .

hospital se discharge hone ke baad
aap pehli baar ghar aaye hein.
mein ne socha, sab se pehle aap ko welcome karoon.

lekin aap khud kyu drive kar ke
aaye hain? Shayan kidhar hai?
usey ehsas nahi hai ke
abhi aap ko driving nahi karni chahiye.

woh lada ka aurton ki terhan dono haath kamar par rakh kar bol rahi thi.
wajdan iske is style par muskura kar kehne lage. Shayan ki koi ghalti nahi.
woh subah Sukhar ja chuka hai? "

kya? woh sadme se chilai.
woh betaye baghair chala gaya?
Aa lene den. aisi khabar lungi ke yaad rakhega . Sach mein bohat marungi.
aur aap beech mein nahi bolemge.

" bilkul nahi bolunga."
woh usey dilchaspi se dekh kar
keh rahey they.

andar chalein?"

Haan." usne apne sar par haath mara." mein to bhool hi gayi.
aayiyae uncle! andar aa jaiye."

woh faiza ke sath andar aaye aur sidhe hi iski nani ke room mein chale aaye.

wajdan ko dekh kar
bistar par leti buzurg khatoon
utney lagi to wajdan ne age badh kar inhen sahara dete huwe takiya uchka kar ke unhe aram se bitha diya khala ap bohot kamzor ho gayi hein.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now