28

481 20 0
                                    

Utho azhar!
kya beti ko kandha nahi doge? "
malik nasir ne yeh kiya keh diya tha.
baba jaan to deewano ki terhan apna sar peetne lage.

Mai mar jaongi baba jaan!

kitney maan se isne apne baap se jaan bakhshi ki darkhwast ki thi.

mar jao gi to tumhe kaandhon par utha kar apne hathon se dafma aonga.

apni beti ke liye kahe gaye alfaaz
kitney saffaq the, baba jaan ko ab ehsas huwa tha.

rehne den malik uncle!
phupha jaan se nahi hoga. "
Afaq ne unse kaha.

wajdaan uthh kar Maliha ke sarhane baen janib aa khada huwa.

noor ul huda ka zehan kaam nahi kar raha tha warna woh wajdan ko pehchan jate.

lekin woh hairan hue the ke
jalti ankhoo aur dehkte chehre wala
yeh shakhs kon hai jise Maliha ki mout par itna dukh huwa hai ke
subah se betha pagalon ki terhan
maliha ko dekhe ja raha hai.

aur ab apne holiye se deewana nazar aata woh shakhs haq daar ki terhan Maliha ko kanda dene agaya tha.

yeh hairan hone ka waqt nahi tha so unhone apni hairat ko jhatak diya.

phir charon aik sath jhuke aur Maliha ka janaza apne kaandhon par uttha liya.

kalme ki sadayen buland ho gayi.
aaj woh qasr e Farooqi se rukhsat ho rahi thi hamesha hamesha ke liye.

20 saloon par muheet
uski zindagi ki daastaa'n achanak hi
aik moud par aakar khatam hogayi thi.

use kehte hain zindagi aur
yeh hoti hai mout
aik bewafa doosri be reham.

aur kya be basi hai ke
qarar dono se hi nahi...
zindagi safaaq lage to
mout ke achak mein chup jao
lekin agar mar kar bhi sukoon na mile to kash koi teesra darwaaza bhi hotaaa!

Qabar tayyar ho chuki thi.
Maliha ka janaza, qabar ke paas utaar diya gaya.

Afaq ne wajdan ko ishara kya to
wajdan ko Maliha ka muh modna yaad aa gaya aur woh jabde bhinch kar nafi mein sar hilata peeche nikal gaya.

Afaq aik nazar use dekh kar janaze ke paas aa gaya,

phir kamar ke gird band he kapde se pakad kar noor ul huda aur samad ke sath mil kar ahthiyat se Maliha ke jism ko qabar ke andar khadhey junaid aur Munir hasan ke hathon mein pakda diya.

phir woh aur noor ul huda bhi qabar mein utar aaye.

tum safaid rang mat pehna karo. is rang mein tum itni pyari lagti ho ke dar lagta hai, tumhe nazar nah lag jaye.

" kafan ki safaid chadar iske chehrey par se hatatey hue noor ul huda ke haath kanp gaye.

unhon ne gour se ki taraf dekha lekin aaj inhen Maliha safaid rang mein achi nahi lagi.

inhen be sakhta woh raat yaad aagai,
jab unka intzaar karte woh thak kar so gayi thi. sote hue iske chehrey par kitni masomiyat thi.

aur woh naram sa tasur jo sote jagte har haal mein iske sath rehta tha.

mout ke kayi ghante guzar jane ke baad bhi woh narmi o Halawat aur
woh masomiyat iske chehre par thi.

noor ul huda ko lag raha tha jaise
woh aaj bhi thak kar so gayi ho.
magar aaj yeh thakan zindagi ki thi.

mein tumahre sehar se
azad nahi hona chahta.

unhon ne narmi se
Maliha ki palkon ko chuva.

meri zindagi se to ja rahi ho,
bas itna ahsaan karna ke
mere dil se kabhi na jana.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now