yeh sab kya tha?
Shayan ke chale jane ke baad
sameera ne faiza se poocha
jo pehle to inko dekh kar pareshan ho gayi thi magar ab usse
unki aamad ghanemat lag rahi thi.khud par qaboo pa kar woh boli.
aap log aaraam se baith jaye.
mein sab batati hoon.***************
taniya ka yun gate se lout jana
maryam ko achanbhe mein daal raha tha. woh andar aa kar baba jaan ke kamre mein chali ayiajeeb si baat hai baba jaan!
abhi taniya aayi thi.
gaadi se niklee bhi,
phir kuch second phone par
baat kar ke woh wapas gaadi mein baith kar chali gayi." koi zaroori kaam nikal aaya hoga.
baba jaan ne kitaab band kar ke chashme mein se inhen dekha.Batakar jane mein kya harj tha?
ab mein baithi pareshan hoti rahungi. woh boli to baba jaan muskura diye.to beta! mat pareshan hona.
unhone suna hi nahi.aisa karti hoon, u
ssey phone kar leti hoon." woh bol kar uthhin aur kamre mein rakhe talephone set se hi number Dial karne lagi.
kuch der receiver kaan se laga kar
unhone wapas rakhte hue kaha.
phone band hai." aajayngi thodi der mein.
pareshan kyun ho rahi ho?
woh Rasan se bole.aap theek keh rahe hain."
Akhir woh khamosh ho kar baith gayi. magar jab taniya ko gaye
aik ghante se ziyada ho gaya to
woh apni pareshani chhupa nahi payi.is beech woh taniya ka mobile bhi try karti rahi. par contect nahi ho saka to unhon ne noor ul huda ko phone kar diya.
bekarr mein pareshan ho rahi ho.
aa jayegi. bachi nahi hai!
phir jahan bhi gayi hai,
khud apni marzi se gayi hai.par iska mobile kyun band hai?
" achhaa dekho, mein ghar aaraha hoon. ab tum aaraam se baith jao.
pareshan mat hona.
phir woh kuch der mein hi
ghar aagaye the.abhi tak kisi ne khana bhi nahi khaya tha. noor ul huda change kar ke aaye
aur khana lagwa diya.
khana kha kar unhone bachon ko
sone ke liye bheja ke inhen subah college jana tha.baba jaan ko unhone kamre mein jane ko kaha, na woh khud hi gaye.
aur ab yeh teeno laonj mein
taniya ke ane ka intzaar kar rahe the.saadhe gayarah bajne tak baba jaan bhi theek thaak pareshan ho gaye the.
pareshan to ab noor ul huda bhi the magar chehre se kuch zahir nahi hone de rahe the. lekin unka iztiraab bhi ab mehsoos ho raha tha.
woh baar baar taniya ka number
try kar rahe the.
baara baje ke qareeb uski car porch mein aakar ruki to maryam
aik dam hi bahar jane ko khadi ho gayi. khud noor ul huda ki bhi jaan mein jaan aayi thi.magar woh Matanat se bole.
Normally behave karna.
der sawair ho jati hai.
is mein koi badii baat nahi."maryam ne asbat mein sar hila diya. taniya laonj mein aayi to iska dhuwan dhuwan chehra dekh kar
noor ul huda aur baba jaan bhi pareshan hue.apni jaghon se utth khadhey hue.
unke chehre dekh kar taniya ki nazar ghadi par gayi aur sharminda si hogayi.I am sorry. mujhe der ho gayi."
woh to koi baat nahi.
magar mobile to on rakhna chahiye tha. baba jaan narmi se iski ghalti ki nishan di kar rahe the.mobile of to nahi hai.
bolte hue isne apna mobile check kiya
aur boli.
oh ho. .. battery low ho gayi!
YOU ARE READING
Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot
RomanceHey there! "Ishq Atish" is a captivating Urdu novel written by Sadia Rajput. It's a romantic story that explores the complexities of love, passion, and sacrifice. The novel takes you on a journey filled with intense emotions, unexpected twists, and...