5

868 20 2
                                    

itwaar ka din tha.
faiza kuch der pehle jaagi thi.
aur abhi nashtey se farigh hi hui thi ke usey mulazma ne taniya ki aamad ke bare mein bataya.
woh foran hi dinnig room mein chali aayi.

" mujhe Shayan ke ghar le chalo"
salam dua ke baad jo pehli baat taniya ne kaha, woh yahi thi.

woh gadh bada gayi.
phir sambhal kar boli .

tum betho! chaye aati hogi.
phir baat karte hain.

" Usne faiza ka baazu girift
mein lekar kaha.
faiza! mujhe Shayan se milna hai.
abhi aur isi waqt.

" faiza ne gehra saans khechte hue
usey -apne sath utha liya.

usey tense hotey dekh kar taniya ne poocha. kya baat hai?

Shayan Karachi mein nahi hai.
" tawaquf ke baad woh phir boli.
uski posting ho chuki hai aur teen din pehle woh apna charge sambhalne
Sukhar ja chuka hai.

" taniya ke liye yeh ittila is qadar ghair mutawaqqa thi.
ke woh kaafi der tak
kuch bol hi nah saki.

bohat der ki khamoshi ke baad usne
be yakeeni se kaha.
woh mujh se miley baghair chala gaya?

phir ussne shaaki nazron se
faiza ko dekha.
aur tum ne bhi mujhe anjaan rakha."

mujhe aisa karna pada.
woh jaldi se safai dete hue boli.

" Jawad ki engagement ke dosre hi din
uski posting ke order aagaye they.
magar Shayan ne mujhe mana kar diya ke tumhe na batau.

phir jab mein ne isse kaha ke tum isse baat karna chahti ho to usne kaha ke woh tum se baat nahi kar sakta.
pata nahi kyun?
magar mujhe woh kaafi up set
lag raha tha.

faiza chup hui to tanya ne kaha.
baat nahi kar sakta?
magar kyun?
aisa to kuch bhi nahi huwa ke woh mujh se baat bhi nah kere.
tum ne usse poocha nahi,
woh aisa kyun kar raha hai?
" tanya ab bhi hairan thi.

faiza se iski taraf dekha hi nahi gaya.
sar jhuka kar boli.
poocha tha.
lekin uss ne kuch bataya hi nahi.
to mein ne socha shayad tum dono mein an ban ho gayi hogi.

"hmare beech to kuch bi nahi huwa.
tanya ne foran tardeed ki.

Impossible faiza ne maan-ne se
inkaar kar diya.
" kuch to baat hui ho gi.
bina kisi baat ke woh talluq kyun khatam kere ga?
Usne tum se kuch to kaha hoga.

" yaqeen karo faiza!
koi baat hui hi nahi.
woh pareshan si ho kar chup ho gayi.
phir jaise yaad ane par boli.
lekin engagement wale din woh
mujh se kuch kehna chahta tha.

" kya? " faiza ko tajassus huwa.

pata nahi. tanya ne jaan boojh kar yeh baat chupali ke iske khayaal mein Shayan uss din ussey propose karne wala tha.

woh kehne hi wala tha.
ke tum aur uncle wahan aagaye.
phir woh koi baat kiye baghair achanak hi chala gaya.
woh ruki phir talkh si hansi ke sath boli. woh to hamesha hi kuch kahe baghair chala jata hai.

" mulazma isi waqt chaye ki trolly ke sath andar aayi to dono chup kar gayeen. mulazma ke jane ke baad faiza ne chaye ka cupp utha kar tanya ke haath mein pakdatey hue kehna shuru kya.

par tanya tum Shayan ki taraf se pehal ka intzaar kyun karti rahin?
khud se kyun nah keh diya?

dono hathon se cupp pakdte woh be basi se boli.
" kaisay keh deti?
jabkey mein yeh bhi nahi janti ke
woh mujh se mohabbat karta bhi hai ya nahi ?

" tum to us se mohabbat karti hona.
kya yeh kaafi nahi hai?

" tanya ne kuch kahe baghair cupp table par rakha aur khadi ho gayi.
" mein ab chalungi.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now