4

856 17 3
                                    

darwazein par halki si dastak ke bad jawab na Mila to.
Taniya ne hath rkha gate ki or darwaza khulta chla gaya.

kamrein m hlki sard roshni mai
Taniya ney andar jhaaka to nigah sidhi kadi Mai tass ke Bane gase se jalene wale aatishdan par lagi tasveer par padhi or hamesha ki tarah.

Taniya ko wo tasweer
saas leti hui mehsoos hui ,
Azhar farooqi aatishdan k smne
rocking chair par
bnd akhon ke sath neend daraz they!

Red dairy band unke seene pe rakhi hui thi or dusra hath bejaan andaaz mein unke sunhere frame ki
aynak ko padle god mai dhara tha!

Aatishdan Roshan tha or kamrein mai pheli zard roshni usi se nikl Rahi thi
jisme mohal ko pura israar bna diya tha.

Taniya ney ahista se darwaza band kiya or dabe kadmo chaltiwi
unke samne carpet par Beth gayi.

Unhe awz detewe wo hich kicha Rahi thi kyuki khi wo so na rahe ho!

phir kuch soch kar isne
apna haath unke ghutney par rakh diya.

carnal azhar Farooqi
bohat zor se chokey the.
yeh andaaz to kisi ki pehchan tha.
unhon ne tadap kar apni ankhen khol di.

magar inhen dikhayi hi nahi diya.
taniya ne inhen ankhen kholta dekh kar kuch kaha tha.
magar inhen kuch sunai hi nahi diya.

unki ankhen kisi aur hi
manzar mein ualajh gayi thi.
unke kaan us aawaz ko sun rahe the

jisay aik baar " aur sun lene ki khwahish barson se unke dil mein thi.

tanya ke aik gair iraadi amal ne inhen bohat peechey dhakel diya.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ maazi!

Happy birthday two you happy birth day two you happy birth day dear baaba.

aatish daan ke samne rocking chair par neem daraaz azhar Farooqi ne.
uski gungunati aawaz bhi suni thi.
aur uska -apne qadmon
mein baithna bhi mehsoos kya tha.

lekin phir bhi woh ankhen band kiye us pal ka intzaar karte rahe.

jab woh inki saari thakan samaitt lete.
aur phir usne bohat aahista se
unke ghatney par haath rakh diya.

azhar Farooqi ne dheere se ankhen khol kar aasmani rang ke kapron mein
malbos uss aasman ki pari ko dekha
jis ke chehre ke gird bikhare lambe sunehri mael ghany baal.

raat aur chaand ka aks lag rahe the.
woh dheere se muskura diye.
woh khilkhila kar hans padi .

happy birth day baba jaan!
thank you beta!

woh bole aur shikayat karne lagey." tareekh badalney mein ab bas chand minute hi baqi hain.
ab ja kar baap ko
wish karne ka khayaal aaya hai?

" sorry baba jaan!
magar mujhe yaad tha.
bas haadi bhai ka intzaar kar rahi thi
ke woh ajaye to
cake sath mein hi katenge.

bolte hue woh zara sa
tapai ki taraf khisak gayi.
aur cake par lagi candle ko
jalane ke liye maachis uthali.

azhar Farooqi ne sawal kya.
noor ul hdi abhi nahi aaya ?

" nahi. "

to phir usey aajane do.
" maachis jalatey uske haath wahi ruk gaye.

Baaba jaan! baara to bas
bajne hi waley hain.
aur saalgirah to apni
tareekh par hi achi lagti hai.

" magar intzaar kar
laine mein koi harj nahi.
apni baat keh kar woh uthey
aur khidki ke sath rakhey
study table par tarteeb se
rakhi kitabon mein se
aik kitaab utha kar uske waraq palatnay lagey.

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now