6

843 17 3
                                    

din hafton mein
aur haftey mahino mein
kitni taizi se bdaltey jarahey hain.
yun hi calendar ko dekhte hue.

taniya ko ehsas huwa ke
Shayan ko Sakkhar gaye
do mahiney se ziyada ho chuke the
aur is tamam arsey mein
Shayan ki soorat dekhna to door
Usne Shayan ki aawaz tak nahi suni thi.

halaan k is ka dil bohat chaha,
kam az kam aik bar to
usey phone karle magar
isne sakhti se khud ko rokkk liya.
woh itni arzaa bhi nahi thi.

intercom ki beep par
iska dhiyaan bhatka tha.

hello!
intercom ka button press karte hue.

Usne kaha. maidam!
miss faiza aap se milna chahti hein. " haan andar bhej do. aur chaye bhi!

faiza ke naam par woh
seedhi ho kar baith gayi.
taniya hairan ho kar faiza ke
yun office aney ki wajah sochney lagi. chand lamho baad faiza aik dam se
iskeoffice ka darwaaza khol kar
andar aayi aur atey hi boli.

Shayan ke father ko
heart attack huwa hai.

" Taniya kitni hi der kuch bol na saki
phir koshish kar ke
usne khud ko milney par amaada kya.

woh theek hain?

" Samjho jaan bachi hai. faiza khud bhi pareshan nazar aa rahi thi

yeh bhi badhii baat hai.
" taniya ne usey dilaasa daine ko kaha phir poocha.
" ab unki condition kaisi hai?"

Abhi to subah inhen room mein
shift kar diya gaya hai.
parson raat se to ICU mein they.

taniya ko khayaal aaya ke
woh jab se aayi hai, khadi hai .
acha baith to jao. "

nahi. woh isi tarha khadi rahi.
" mein hospital ja rahi hoon.
rastey mein tumhara office aaya to
socha tumhe ittila kar du.

" mein bhi chalti hoon tumahray sath.taniya ne jaldi se kaha
phir intercom par tarik sahab ko bula ke
Faiza ko bethne  ka keh kar
apne samney khuli files semathney lagi .

yes madam! zara der mein aik adhaid umar ke saab office mein the.
tarek sahib! yeh file mein ne dekhli hai. jaise hi papa factory se ayen,
sign karwa lijiye ga.
aur yeh cotashion Supreme Court coopration ko aaj hi tax ho jani chahiye.

aur agar papa mera puchein
to keh dijiye ga zaroori kaam se gayi hu
aik daidh ghantey mein aa jaoongi.

jaldi jaldi boltey hue
usne do files unko pakdayi
phir bag ka strip kandhey par daal kar mobile aur chabiyan uthaati faiza ko -apne peechey aney ka
ishara karti office se nikal gayi.

faiza ke baithtey hi isne gaadi
agey badha di.
kon se hospital mein hain?
" agha Khan . sadak par atein hi
taniya ne poocha tha aur
faiza ke jawab par
woh khamoshi se drive karne lagi.
magar kuch yaad aney par poocha .

Shayan ko pata hai?"

uncle ko heart attack hafte ki raat ko huwa tha aur shayaan har weekend par Karachi aata hi hai.
Uncle ko hospital bhi wohi le kar gaya tha.

taniya ne hairat se use dekha.
Shayan har weekend par
Karachi aata hai? "

haan! faiza ne iske lehje par
dheyaan diye baghair kaha.
bohat pareshan hai bichara.
mujhe to dar hai kahin
khud bimaar nah padh jaye.

uncle se mohabbat bhi to
bohat karta hai.
parson raat se hospital mein hai,
aik pal ke liye nahi soya.
na khane peeney ka kuch hosh hai.

woh Shayan ka ahwaal kya sunti,
abhi tak uski hairat hi
khatam nahi hui thi.
faiza zara der ko khamosh hui,

to usne phir poocha .
faiza! kya waqai Shayan har
weekend par Karachi aata hai?

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now