36

387 14 0
                                    

mulk ke aik naamwar aur ba assar business man, Iqbal Yazdani ki taraf se
pc ke launj mein zabardast dinner ka ihtimaam kiya gaya tha.

jis mein shirkat ke liye masool hone wale dawat naamon ko shehar ke chouti ke business Mans aur politician.

apne liye azaz samajh rahe the.
aur kon nahi jaanta ke aylit class ke dinners aur parties mauqe ki munasib se nahi balke mauqa ki talaash mein di jati hain.

noor ul huda ko mauqa ki to nahi
magar masrufiyat ki talaash
ab aksar raha karti thi
aur aaj to wajah bhi thi.

woh hamesha ki terhan ihtimaam se tayyar hue, waqt par hi pahonch gaye.

magar vip ki aamad to takheer se
huwa karti hai.

Iqbal Yazdani, noor ul huda ki table par baithe hasb aadat phool jhadiya chode rahe the.

noor ul huda waqai unki batein enjoy kar rahe the ke chember of commerce ke saddar ki aamad ka shore uttha aur
woh inhe welcome karne ke liye uth gaye.

arrey woh noor ul huda Farooqi hai na? bhala yeh yahan kya kar raha hai?

Naveed Akhtar ki nazar
cream colour ke suit me?
malbos noor ul huda par padi to
sath baithe Iqbal Yazdani se bole.

unhon ne kaha.
kamaal karte hain Naveed saab!
hum ne bulaya hai to
yahan nazar aa raha hai. "

kamaal to aap ne kya hai Yazdani sahib! yeh ladka jise business field mein aaye abhi jumma jumma aath din bhi nahi hue, aap use personally invite kar rahe hain.

unke lehjey mein noor ul huda ki tehqeer ke sath sath Iqbal Yazdani ke liye
tanz bhi tha jisey mehsoos kar ke bhi unhon ne bura nahi mana.

balke hans kar bole.
yahi sochey Naveed sahib!
agar hum ne bulaya hai to
is ladke mein kuch khaas bhi hoga. ""

kya khaas ho sakta hai is kal ke bache mein? woh badastoor tanz kar rahe the.

khasiyat ki baat ki aapne to kya
yeh khasiyat kam hai ke chember of commerce ka saddar
use iske naam se janta hein.

woh apne shaguftigi bhare andaaz mein unke Tanz ka jawab de kar bole the.

aur is par jusgi par ek badha zordaar kehka gunjaa tha.

sath wale table par baithi ladkiyan jo ba aasani is guftagu se mustafeed ho rahi thi, woh bhi unke jhumle par muskurane lagi.

Iqbal uncle to noor ul huda se bade impressed lag rahe hain.
aik ne muskurahat rokkk kar
tabsarah kya to dusri boli.

" sirf Iqbal uncle hi kyun?
Iqbal uncle ki beti bhi
noor ul huda Farooqi se kaafi mutasir hai. kyun maryam?

Sharat se kehte hue isne sath baithi
ladki ko toka diya jis ki nazrein
mustaqil noor ul huda par jami thi.

apne friends ki baat par muskurate hue
isne coffee ka ghoont bhara
phir cupp neeche rakh kar dobarah
noor ul huda ko dekhne lagi.

toh blue evening gaon mein malbos ladki masnoi fikar mandi se boli.

control your self maryam!
tum kahan is Zahid khushk ke chakkar mein pad rahi ho jo kisi ko bhao hi nahi deta.

waise kehta hai Mosoof land lard hain aur yeh zamindar qisam ke log zara tedhi kheer hote hain."

mein bhi yeh soch rahi hoon ke
yeh shakhs mujhe is terhan se
apni taraf attract kyun kar raha hai.
shayad paas jau to kuch pata chale"
poor soch andaaz mein keh kar
woh uth khadi hui toh.

usi ladki ne iska baazu pakad kar
rokte hue kaha.
kahan jarahi ho? "

Usne aik ada se shaanon se zara neeche latakte be had siyah balon ko jhatak kar kaha. "Noor ul huda ke paas. "

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now