ּ ֶָ֢.CH78

229 19 5
                                    

'''

Agle din wo usey apne sath school le kar bhi gaya. Class president ne usey poore school ka tour bhi karwa diya. Classes ki tafseelaat se bhi aagah kar diya gaya. Kitabe, uniform, semester ka schedule sab bata diya gaya. Haider uski aasani ke liye aaya tha. Naye mahol mein, naye school mein, naye jagah par adjust hone tak wo uske paas hi rehna chahta tha. Use yehi hukum mila tha. Magar Faris Wajdan ne school jane se inkaar kar diya. Uski dilchaspi har aik cheez se khatam ho chuki thi. Uske andar jeene aur aage barhne ki khwahish khatam ho gayi thi. Wo aik hi maqam par munjamid ho gaya tha, waqt ke daire mein reh kar kahi saakin ho gaya tha.

Wo ab pehle jaisa nahi ho sakta tha. Pehle ki tarah zinda nahi ho sakta tha. Use ab koi baat mutaharrik nahi karti thi. Ab koi khwab use mashgul nahi karta tha. Ab koi khwahish, koi umang bhi nahi rahi thi.

Use apna aap kisi nashe mein qaid hota hua mehsoos hota tha.

Haider chahta tha wo school jaye. Usne har mumkin koshish bhi ki. Use samjhata bhi raha, magar Faris kisi surat uski baat man'ne ko taiyar na tha. Wo kuch din ke liye chala jata, phir aa jata, dobara baith kar samjhata. Uske zimme ek kaam tha, use wo kaam har surat poora karna tha.

"Aap ko apni taleem hasil karni chahiye, aage badna chahiye." Us din bhi wo milne aya to samjhane laga.

Rahim sofa par neem daraz chips khate hue unhein hi dekhta ja raha tha. "Jab usne apni zindagi barbaad karne ka faisla kar hi liya hai, to tum usey kyun force kar rahe ho?"

Straw munh mein daba kar ek lamba ghoont bhara. Haider hamesha hi uske taang arane par zich hota tha. Ek to usey Faris ko zehni tor par tayyar karna nahi aa raha tha, doosra jo zehn saazi wo taleem ke fawaid ginwa kar karta tha, use Rahim fana kar deta tha.

"Padhai wadhai mein kuch nahi rakha. Gunde ban jao, bara scope hai."

"RAHIM!" Haider ne ghoor kar use mutanabbeh kiya tha.

"Kya?" Baazu phela kar hairani ka izhar kiya.

"Apna munh band rakho aur mujhe baat karne do."

"Pichle do hafto se tum baat hi kar rahe ho, koi hal nikla?"

Haider daant pees kar reh gaya.

"Jab wo school nahi jana chahta to tum usey kyun force kar rahe ho?"

"Tum hamare darmiyan mat aao."

"Main kahan aa raha hoon? Dekho main to yahan baitha hua hoon." Usne lounge se haank lagayi. Wo dono dining table par baithe the.

Haider ko ehsaas ho. Usey Fars ko khanay ke liye kisi alag kamre ka intekhab karna chahiye.

Jahan Rahim ki koi ma alfat na ho, agar aisa ho nahi sakta tha.

Abhi baat ho rahi thi ke ghanti bajne lagi.

"Is waqt kaun aa gaya?" Rahim jazbaaz hota ka joon ki tarah sofa se uth kar darwaze par gaya. Us ne chhoti si khidki slide kar di. Samne James aur William khare the.

"Hum totey se milne aaye hain."

"Tota so raha hai." Us ne slide khat se band kar di.

Dobara bell baji to usne slide dobara kholi.

"Agar mein qatal koi police force mein shamil kar doon aur usey tamam qatal case investigate karte dikhau to..?" danista ruk kar fatahana muskrahat dikhai ke ab to anokha idea mil hi gaya.

"Tum abhi bhooto par kaam karo. Is par baad mein aata."

"Oh bhooto se yaad aaya. Mister Will Smith ka ghar haunted hai kya?"

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now