•CHAPTER-70•

323 12 0
                                    

•••
A

zam Shirazi Pakistan ja rahe the. Rawangi ke waqt Jamila Daud ne ek bag alag se tayar kar ke de diya.

"Yeh Faris ke liye hai." Unho ne sawaliya abroo uthai to jawab diya. Kuch dair tak woh apni jagah khade rahe.

"Is ka kya karu?"

"Us tak pohncha dein." Hammad apne doston ke sath outing ke liye gaya hua tha. Andar dakhil hua aur apni jagah ruk gaya. Woh uski mojoodgi se qatae be-khabar Azam Shirazi ki taraf mutwajjah theen.

"Tumhein itminaan kyun hai ke mein yeh samaan us tak pahucha duga?"

"Cheezo se kya farq parta hai? Unka intizam to aap ne bhi khoob kar rakha hai."

Woh note kar rahe the ke woh pehle ki tarah khul kar un se baat nahi karti theen. Aur un se to Faris ka zikar karta bhi taqreeban chhor diya tha.

"Zaroori nahi ke mera naam le. Bas pahucha dein."

Azam Shirazi ki nazar un ke aqab mein Hammad par pari to sanjeeda se ta'assuraat aik dum se narmi mein dhal gaye. Bag se nazar banate us ke paas chale gaye.

"Aap ja rahe hain Baba?" Woh unki baaho mein sama gaya.

"Hmm!" Uski peshaani ka bosa liya. Uske balon ko bhi bakhair diya.

"Mein bhi aap ke sath Pakistan jaana chahta hoon par Dad, woh kuch mane tab na!"

"Tumhare Dad ko bhi mein hi mana karta hoon."

Jamila ne woh bag unke suitcase par rakh diya.

"Halat kuch behtar ho jayein to phir Pakistan aana."

"Agle saal ka wada kar ke jaaye. Balke aap yahan nahi aayenge balkay mein aap ke paas aaonga."

"Wada!" Unho ne kaha.

Jamila Daud aur Hammad Shirazi se mil kar woh bahar chale gaye. Mulazim mustaed the, bahar unki gaari bhi tayar khadi thi.

Siyah bag unke suitcase handle ke sath atka reh gaya tha. Jamila Daud bhaari dil ke sath baironi darwaze ke steps par khadi theen. Albata dada ke jaate hi Hammad ke ta'assurat pal bhar mein badal gaye the, aankhon mein khafgi si aa gayi thi. Woh jaanta tha, siyah bag mein kya tha, aur kis ke liye tha.

America mein yeh unka teesra saal tha, Azam Shirazi ke business partner Fawad Khakwani ke bete ki shaadi thi. Unhain bhi khas tor par mad'u kiya gaya tha. Azam Shirazi ne phone par rabta karke ticket ki baat ki to kuch dair tak to unhein apni sama'at par yaqeen hi nahi aaya. Khushi se aankhein nam ho gayi. Hammad ek maah pehle hi apne dada se milne Pakistan gaya hua tha. Pandrah din baad unhein bhi Haroon ke sath Pakistan jaana tha. Sab maamlat tay ho chuke to unho ne Faris ke liye shopping ki. Us ke liye shirts, hoodies, aur trousers khareede. Bag khareeda. Kuch kitabein muntakhib ki. Woh itni khush theen ke paon zameen par nahi lag rahe the. Seene se bojh sirkta hua mehsoos ho raha tha.

"Haan, woh un se shadeed naraaz hoga, ladega, royega. Baat nahi karega, magar woh usey mana legi, Woh hamesha usay mana leti theen. Jab bhi us ka chehra haathon mein leti thee, us ka naam leti theen, us ka haath karti thee, to woh apni tamam tangi ke bawajood narm par jata tha. Woh un se zyada dair naraaz nahi reh sakta tha." Woh khayalo mein sab tarteeb deti ja rahi theen. Sab acha aur pehle jaisa karne ka soche ja rahi theen. Magar hamesha waisa to nahi hota jaisa aap sochte hain. Jaisa aap chahte hain. Jamila Daud ke sath bhi yahi maamla pesh aane wala tha. Unke wohm o gumaan mein bhi nahi tha ke Pakistan pohnchne tak unhein kitni buri khabar milne wali hai.

"Mujhe suno!

Jaise koi barish ko sunta hai

Saale guzar jaate hain

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now