Story :Tum miley
Chapter 10
"Tapish"
#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan❤❤❤❤❤❤❤❤
"Is qadar bhi bemayne nhi ho sakti meri zaat.Uska tasavvur bhi kar lun to dimagh k daro durood mein se dhuan nikalne lagne lagta hai.Kis tarah mumkin hai koi is tarah kisi ko apni hi nazro me hi bebas karde.Me apne sath hargiz usko ye sab nhi karne dungi.Koshish karungi ki aage se hamara samna hi na ho.Apni izzat apne hath wala muqaam aa gya hai.Kis tarah behis ho gya jaise thodi se madad karke usne hame khareed liya ho.Huh...go to hell .."wo takhiye me munh chupaye badbadaye ja rhi thi .
"Ya Allah mujhe is haziq nami shey se bachana.Pata nhi kyu khauff ata hai iski shaksiyat se.Pal me kuch or pal me kuch.Bas Mehek tumhe kasam hai aj se bahar hi mat nikalna chahe kitni bhi emergency kyu na ho"uske dimagh me khyalaat bunte ja rhe the.Kab sochte sochte nind lag gayi usko khyal hi nhi rha.Sham k 5 baj chuke the.Dadi phone pe phone kiye ja rahin thin chai k liye.Usne phone uthake dekha" itne missed calls? Allah khai kare"
Wo uthne k liye khadi hi hone wali thi ki darwaze pe haziq ko dekhke cheekh nikal gyi.
"Tum yahan? Kiski ijazat se aye?"wo dupatta dhundte huye boli.
"Dadi bula rhi hai tumko, bahut der se call kar rhi thi, phone pik nhi kar rhin thin tum. To unhone mujhe bhej diya tumko bulane"Wo hath bandhe usko or jala rha tha.Chehre per halki si muskurahat thi.
"Tum kyu aye hamare ghar ? Mana kia tha na?jao tum, me aa rhi hu fresh hoker"wo hadbadaayi hui thi apne haalaat per.Dupatta tha ki milke nhi de rha tha,wo bister per talash rhi thi.Gusse mein wo bigad kar usse boli.
"Dadi ki tabiyat ka haal jaanne aya tha.Dekha unka koi pursane haal hi nhi.Log ghode bechkar so huye hain."Haziq hastey huye bola.Usne apni jacket ki pocket mein hath daal liye.
"Mat fikar karo hamari Or tumhari jo ye hasi hai na mujhe zeher lagti hai.Maf kardo hamien,humne ghalti se tumhari madad leli"usne ishare se hath jode.
H:"Pehli bat to ye hai ki tum tum kehna band karo.Mein tumse kai sal bada hu me.Apni izzat karwani achi tarah aati hai mujhe"Haziq bhi kam padne walon me se nhi tha.
M:"Ya Allah kis shaksiyat se mila dia hai mujhe.Izzat zabardasti nhi karayi jati samjhe tum?"Wo chidh kar tez awaz me boli.
H:"Thik hai phir me khashaf apa se bol dunga jo tum ne kaha hai.khuda hafiz"Wo ekdum hi jaane k liye muda.
M:"Hello, Suno thik hai, me bolungi tamiz se but kashaf apa or meri friendship mat spoil kariye."Usne kuch sochkar jawab dia.
H:"Ab aya na oont pahaad k niche"Wo mudkar uske darwaze se tik kar khada ho gya.
M:"Lekin ab ap yahan tashreef na laiyega next time se.Mujhe apka ana qatayi acha nhi lagta"Wo dusri taraf munh karke boli.
H"Mehek tum khud ko koi hoor pari samajhti ho kya?Tumko kya lagta hai me tumhare piche yaha ata hu?"
M:"Aap jab bhi samne aate hain or wahiyat si bat mujhse karte hain to mera dimagh or kharab ho jata hai.Is tarah mujhse koi baat nhi karta"
H:"Mene kabhi tumse kuch galat bat kahi Mehek? Me mazak karta hu lekin badtamizi nhi karta yad rakhna tum.Kisi pe ilzam lagane se pehle das bar soch lo"Haziq uski aankho me ankhen dalkar bola.Ye kehkar mehek ka jawab sune bagair wo waha se gusse mein chala gya.
Mehek ne socha"Shayad mene zyada hi bol dia bechare se.Ab to kashaf apa se pakka shikayat laga dega.Lagane do darti nhi hu me."Wo sochti hui dadi k pas aa gayi.
आप पढ़ रहे हैं
Tum Miley(completed)
RomanceHello! My story "Tum Miley" is the story of Haziq & Mehek who hated each other at first sight. But circumstances bring both of them closer and they fall in love with each other. I am very spritual person,loves nature and exploring bful world.Story s...