"Khyaal"76

406 34 10
                                    

Tum Miley

Chapter 76

"Khyaal"

#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan

❤❤❤❤❤❤❤❤

"Yammar NOooo"mein zor se cheekhi.Awaz gale me dab kar rah gayi.Jitni taaqat laga sakti thi meine poori laga di.

"Iam going to kill you today Mehek"Usne mujhe kaskar pakad rakha tha.Uski aankhon mein mere liye nafrat thi,Hiqaarat thi.Wo meri jaan lene wala tha.Uski aankhein aag ugalti hui mehsoos ho rahin thin.

"Yammar please mujhe maaf kardo.Nahi karo mere sath aisa please"Mene badi mushkil se usko roka.

"You deserve my hate,not my love.I just hate you Mehek.Aj k baad meri nazro k samne bhi mat aana tum"Wo mere kaan mein chikha.Usne mere qareeb aakar mera gala pakad lia.Wo apni poori taqat se mera gala dabane laga.Meri saans ana band ho gayi or mujhe apna vujood thanda padta hua mehsoos hone laga.Mein uske hatho mein jhatpataane lagi.Aisa laga meri aankhien band hoti ja rahin hain,saans ana band ho rahie hai.Meine apni jaan nikalte huye mehsoos ki.Pair hath sab bejaan ho gaye the.Mera vujood uski bahon mein beharakat pada hua tha.Mein rooh bankar ye sab khadi dekh rahi thi.Wo meri murda badan ko gale se laga laga k cheekhien maar raha tha.Mein us manzar ko dekhkar ro sisak padi,Laga aaj sab khatam.Bas ye kahani yahi tak thi.
Haziq Mehek yahi tak sath the.Haziq mere bina kaise ji paega?

Mein ek jhatke k sath gehri nind se jaagi.Poora badan sunn pad chuka tha.Ya khuda kis tarah ka khatarnaak khawaab mene dekha.Aisa laga mein sach mien mar chuki thi.Mene apne sine pe hath rakha abhi tak dil ki dhadhkane tezi se chal rahin thin.Gala poora sookh chuka tha.Khuda ka shukr hai zinda hu.Poora badan dard kar raha tha.Dopahar k qareeb do baj chuke the.Raat bhar hospital me jaagne k bad subah ghar aakar soyi thi .Zehan pareshan ho to aise hi khauffzada khawab aate hain.

Ghabrakar mein uth bethi.
AJ Mujhe Dehradoon bahut yaad aa raha hai..Waha ki her waqt hone wali baarish kitni suhaani hoti thi.Sab kuch kitna mutmayeen sa tha.Koi fikar koi pareshani kabhi chu ke nahi guzarti thi.

Yahan zehen mein sirf pareshaniyan hi chalti rehti hain.Yammar ka kya haal hoga is waqt?Ghar aa gaya hoga ki nahi?.Kya mein ghar jaaun usey dekhne?Nahi ye idea acha nahi hai.Already bahut log hain uski khidmat mein.Mein apne kaam se kaam rakhu to hi meri sehat k liye acha hoga.Ya Allah kabhi kabhi mein kitni zyada selfish ho jati hu.Lekin mujhe us ghar mein qadam hi nahi rakhna jis ghar mein meri sabse aziyatnaak yaadien judin hui hon.Lekin meri aziyatnaak yaadon se zyada aziyatnaak Yammar ki haalat hogi is waqt.

Wo apne dimagh or dil k bich mein chal rahe jhagdey ko sun rahi thi.Mera dil or dimagh kabhi bhi ek baat per mutmayeen(satisfy) nahi hotey"Wo uljhi hui thi apni sochon mein.Achanak mobile ki bell baji.

Usne mobile per nazar daali.
"Mera mobile to nahi baj raha phir awaz kahan se..?"Usne uthkar dekha uske bag mein se mobile ki awaz aa rahi thi.

Usne bag khola to dekha Yammar ka mobile uske bag mein hi reh gya tha.Usne Yammar k mobile ko dekha kisi ka phone aa raha tha.Usne call ko silent kar dia.
Jab phone band hua to usne mobile band karna chaha lekin usmein ek window khuli hui thi.Usne usey open kia to bahut buri tarah dar gayi.Usne us window k cam mein khud ko live betha hua paya.Wo apni jagah se uchal padi or mobile hath se choot gya.Beyaqeeni se usne mobile ko gor se dekha.Phir usne himmat karke mobile dobara uthaya or camera angle check karne lagi.Camera bed k ekdum samne tha.

"Ya Allah Yammar"Wo zor se cheekhi.Usko Yammar se aisi ummid nahi thi.Wo apne room mein camera talaashne lagi.Gusse mein usey kosti ja rahi thi.

"Tum kal hi kyu nahi mar gaye Yammar?Mein kyu tumhare liye itna royi?I will kill you Yammar.Zaleel Wahiyaat insan"Usko camera mil gya tha.Usne usko khinch kar bahar nikala.Us camere ko usne buri tarah tod dia.Wapas Yammar k phone ki taraf mutawajjah hui.

Tum Miley(completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें