"Zalzala"84

572 29 18
                                    


Story :Tum miley

Chapter 84

"Zalzala"

#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan

❤❤❤❤❤❤❤❤

Mein soch rahi thi ki Yammar or Haziq k bich kya ho raha hoga?Dil ka dhadakna band nahi hua tha.Aise moqon per dil 100 ki raftaar se dhadakne lagta hai.

Yammar kaise sambhalega usey?Hazaar sawaal mere zehen o dil mein aa rahe the.Bechaini waqt k saath badhti hi ja rahi thi.Ekdum se mere phone ki bell ring hui mein samajh gayi ki Haziq ja chuka hai.Yammar k number se call tha.Usne phone uthaate hi mujhe kaha "Aa jao"or phone rakh dia.Mein apni saanse thaamein huye Yammar k kamre mein daakhil hui.Dekha to Yammar ki naak or hoanth mein se khoon nikal raha tha.Mein dekhkar usey ghabra gayi.Mene dodkar uske hotho per apna dupatta rakh dia.Mein samajh gayi kuch na kuch gadbad zaroor hui hai.Mene Yammar se sawaal kia ki kya hua un dono k bich.Khoon kaise nikla,magar jawab mein wo hasta raha,or hasta hi chala gya.

Mere zehen mein uski hasi or sawaal paida kar rahi thi.Kuch pal ko laga wo mere ooper has raha hai.Mein hairan tab reh gayi jab mene Haziq ki awaz piche se suni.Mere hath pair jaha the wahin jaam ho gaye.Kuch kehne or sunne ki jaise himmat hi na bachi ho.Mene mudkar usko dekha wo tanziya muskurahat k sath mujhe dekh raha tha.Wo muskurahat pal mein kab gusse mein tabdeel ho gayi mujhe ehsaas hi nahi hua.Wo itni zor se mere ooper dahaada.

H:"Mehek samaan uthaao or chalo mere saath"uski awaz ki tezi se mein hosh mein aayi or jane k liye mudi.Yammar ne sakhti se mera hath pakde hua tha.Mene usse hath chudaya or room se samaan nikalkar le aayi.

Mene Yammar ki taraf dekha.Uski shaitaani hasi ka maqsad mujhe samajh aa chuka tha.Mein uski taraf mutawajjah hui or mene usko kaha"Jo kaam mein adhoora chodkar ja rahi hu wo poora kar lena.Zeher k do ghoont zaroor pi lena Yammar.Soch lena ki mene hi tumko pilaye hain"mene zehreele lehje se uske kaano mein kaha.

Mein Haziq k sath saman lekar bahar aa gayi.Yammar ne mujhse jaate waqt ek lafz bhi nahi kaha.Bahar nikli to Abu Daib darwaze per hi khada tha.Zahir hai usne sab sun hi liya hoga.Mene usko jaatey waqt kaha ki apne dost ka khyal karna chod do.Uske haq mein is duniya se chale jana hi behtar hai,nahi to wo zindagi bhar dusron ki zindagiyan tabaah karta rahega."

Abu Daib ne mera sara saman car mein rakhwaya.Haziq pehle hi bahar jaa chuka tha.Wo mere liye nahi ruka.

Abu Daib:"Apne jo kia sahi kia.Abu Sulemaan ko mein bata dunga.Dont worry"

M:"jab ye mar jaaye to mujhe inform karna zaroori mat samajhna.Ye iske gunaahon ka kaffara hai.Khuda Hafiz".
Ye kehkar mein car mein aakar beth gayi.

Haziq ki aankhien gusse se laal ho rahi thin.Mein jaise hi bethi usne driver ko chalne ka ishara kia.

Raastey bhar hum dono khaamosh bethe rahe.Haziq latalluq sa bana sir pakad kar betha hua tha.Haziq ne ek chubhti hui si nazar mujh per daali.Us nazar mein aisa kya tha ki mere sine mein ek sath kayi khanjar se chal gaye.Us nazar mein gussa tha,hiqarat thi,nafrat thi.Mera dil chalni ho gya.Mene Haziq se nazrein chura lin.

Mujhe bhi usse shikaayatien thin.Lekin us waqt mein apni shikayatien uske samne nahi rakh sakti thi.Andar hi andar sab kuch kaanch ki tarah toot raha tha.Lekin mein khud ko ooperi tor per sambhale huye thi.Usne nazro hi nazro mein mujhe zaleel kar dia tha.Kuch kehne ki to nobat hi nahi aayi.

Jab zyada khamoshi ho to us toofaan se zyada khauff ata hai.Uski khamoshi mujhe chubh rahi thi.Kaash mujh se chilla k hi baat kar leta,lekin usne nhi ki.

Ghar pahunchkar usne mujhe apne samne bethaya.Mein chupchap uske samne bethi rahi.Khamoshi bahut dair tak nahi tooti.

H:"Kal ki flight hai,Jo kuch niptana hai nipta lo.Dubara yaha ka naam tumhare munh se na sun lu mein"wo tez awaz mein bola.Ankho me se sholey baras rahe the.Paseena pasina ho chuka tha wo shaqs.Kitna bardasht kia hoga usne gussa, ki ek lafz nhi bola usne mujhse abtak.

Tum Miley(completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें