Tum Miley
Chapter 75
"HADSA"
#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan❤❤❤❤❤❤❤❤
Mehek Haziq se baat karne k baad change karke bahar nikli.Dekha to phone bahut der se baj raha tha.Mehek ne dekha Yammar ka call tha.Usne ignore kar dia.Yammar ka phir dubara call aane laga.Mehek ne na chaahtey huye call recieve kia.
"Hello ab itni raat ko kya kaam aa pada?"Mehek ne gusse se poocha.
"Hello mam yaha ek accident hua hai.Inke mobile mein last dialed number apka tha.So just want to know who iam talking to?"Mehek k pairo me se jaan nikal gayi.Halaq band ho gya jaise.Chahkar bhi munh se awaz nahi nikal payi.
"Hello mam ?"
"Ji me Mehek.He is Yammarul Hashimi.He is my friend.Thik hai wo?Zyada chot to nahi aayi?"Mehek paseena passeena ho gayi.Usne jaldi se mobile or wallet uthaya or taxi bula li.Yammar ka accident Mehek k ghar se kuch hi doori per hua tha.Wo lift se utar kar bahar nikli to uska pair slip ho gya.Wo zor ki thokar khakar niche giri.Wo uthkar khadi hui or taxi ki taraf bhagi.Wo jaise taise accident ki jagah per pahunchi.Usne dekha Yammar ka khoon sadak pe beh raha tha.Usey dekhkar chakkar aa gaye.Yammar ko ambulance mein shift kar rahe the.Mehek bhaagkar Yaamar k pas pahunchi.Uski chikh nikal gayi Yammar ki haalat dekhkar.Wo ambulance me Yammar k sath hi beth gayi.
"Ya khudaya kya mushkil halaat me daal dia"Mehek k aansu nahi ruk rahe the.Usne Yammar ka kaskar hath pakad rakha tha.Wo uski hatheli ko apne hatho se ragad rahi thi.Yammar ko awazien deti rahi hosh mien laane k liye.
Ye khoon meri wajah se baha hai.Ya Allah mujhe maaf kar dena.Ye shakhs meri wajah se is halat mein pahuncha hai.Mien khud ko kabhi maaf nahi kar paungi"Wo Yammar k besudh vujood ko dekhkar bokhlaayi ja rahi thi.Itna laheem shaheem aadmi kaise bejaan pada hua tha.Usey Yammar k hath thande hotey huye mehsus huye.Wo zor se chillayi.
"YAMMAR please come back.Iam sorry Yammar.Please ek baar aankhein khol do Yammar.Tumhhe meri jaan ki qasam hai yammar"Yammar ka badan beharkat tha.Khoon bahut beh chuka tha.
Hospital aaya to Yammar ko stretcher se O.T mein shift kiya gya.Mehek ki haalat buri ho gayi thi ro rokar.Wo bahar waiting room mein bethi rahi.Khuda se uske liye khair ki duayien maangti rahi.Mehek k kapdo per bhi Yammar k khoon k katre gir chuke the.Mehek ko dekh dekhkat khauff aa rha tha.
Yaamar ka mobile wallet or ghadi police ne Mehek ko handver kar di thi.Mehek ki aankhon k samne janaze ka manzar samne aa gya.Mehek ki rooh andar tak se kaanp gayi.Kuch ghante pehle Yammar Mehek k liye ro rokar duayien maang raha tha.Ab Mehek uske liye duaaon ki talabgaar thi.Her aansu k qatre mein dua shamil thi.Her tasbeeh jo usey yaad aayi usne padh daali.
Docter ne aakar usse pucha "Koi inki family se aya hai?" Mehek jis baat se ghabra rahi thi usey wahi karna pada.Usne Yammar k phone se uski vaalidain ka number dhoondna chaha.Lekin contact list poori arabi mein thi.Usko samajh hi nahi aya.Usne whatsapp khola usne saari list check ki.Ek jagah ek chehra jana pehchana saamne aaya.
Usne usey call kia.
"Hello Abu Daib.Assalamoalaykum"Usne Yammar k khas dost ka number dial kia.
Abu D:"W salam.This is yammar's number,how you are calling from his number?'
M:"Abu Daib iam Mehek his ex wife"Mehek k munh se badi mushkil se nikla ye lafz usey samjhaane k liye.
Abu D:"Wallah madha tafeal huna?"(Arabic:what you are doing here?)
आप पढ़ रहे हैं
Tum Miley(completed)
RomanceHello! My story "Tum Miley" is the story of Haziq & Mehek who hated each other at first sight. But circumstances bring both of them closer and they fall in love with each other. I am very spritual person,loves nature and exploring bful world.Story s...